Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kavish Badri's Photo'

Kavish Badri

1927

Kavish Badri

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 12

ek bosa hoñT par phailā tabassum ban gayā

jo harārat thī mirī us ke badan meñ aa ga.ī

ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya

jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai

ab na vo ahbāb zinda haiñ na rasm-ul-ḳhat vahāñ

ruuTh kar urdu to dehlī se dakan meñ aa ga.ī

ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan

ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai

javāb dene mohlat na mil sakī ham ko

vo pal meñ laakh savālāt kar ke jaatā hai

jawab dene ki mohlat na mil saki hum ko

wo pal mein lakh sawalat kar ke jata hai

az-sar-e-nau fikr āġhāz karnā chāhiye

be-par-o-bāl sahī parvāz karnā chāhiye

az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye

be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye

māhaul sab ek hai āñhkeñ vahī nazreñ vahī

sab se alag rāheñ mirī sab se judā manzar mirā

mahaul sab ka ek hai aanhken wahi nazren wahi

sab se alag rahen meri sab se juda manzar mera

BOOKS 14

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now