phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar
phir vo be-samt uḌānoñ kī kahānī sun kar
so gayā peḌ parindoñ kī kahānī sun kar
kyā yahī ḳhvāb kī tā'bīr huā kartī hai
uḌ ga.ī niiñd bhī āñkhoñ kī kahānī sun kar
aable aise kabhī phuuT ke nā ro.e the
jis tarah ro.e haiñ kāñToñ kī kahānī sun kar
ham vo sahrā ke musāfir haiñ abhī tak jin kī
pyaas bujhtī hai sarāboñ kī kahānī sun kar
dard kī had se guzar kar to yahī honā thā
aañkh pathrā ga.ī ashkoñ kī kahānī sun kar
kashtiyāñ lauT to aa.ī haiñ magar ik sāhil
soch meñ Duubā hai maujoñ kī kahānī sun kar
tum ne to sirf bahāroñ meñ unheñ dekhā hai
tum bikhar jāoge phūloñ kī kahānī sun kar
saare kirdār siyāne the magar jhūTe the
log hairān the bachchoñ kī kahānī sun kar
kitnā āsān thā bachpan meñ sulānā ham ko
niiñd aa jaatī thī pariyoñ kī kahānī sun kar
un ko mā'lūm thā chehroñ kī haqīqat kyā hai
chup rahe aa.ine chehroñ kī kahānī sun kar
phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar
so gaya peD parindon ki kahani sun kar
kya yahi KHwab ki ta'bir hua karti hai
uD gai nind bhi aankhon ki kahani sun kar
aable aise kabhi phuT ke na roe the
jis tarah roe hain kanTon ki kahani sun kar
hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki
pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar
dard ki had se guzar kar to yahi hona tha
aankh pathra gai ashkon ki kahani sun kar
kashtiyan lauT to aai hain magar ek sahil
soch mein Duba hai maujon ki kahani sun kar
tum ne to sirf bahaaron mein unhen dekha hai
tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar
sare kirdar siyane the magar jhuTe the
log hairan the bachchon ki kahani sun kar
kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko
nind aa jati thi pariyon ki kahani sun kar
un ko ma'lum tha chehron ki haqiqat kya hai
chup rahe aaine chehron ki kahani sun kar
- Book : Bechehragi (Pg. 43)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.