ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ik terī be-ruḳhī se zamāna ḳhafā huā
ai sañg-dil tujhe bhī ḳhabar hai ki kyā huā
daryūza-gar samajh ke to thī multafit hayāt
vo yuuñ kaho ki dāman-e-dil hī na vā huā
Duubā kuchh is tarah se mirā āftāb-e-dil
sab kuchh huā ye phir na sahar-āshnā huā
yuuñ us ke dar pe baiThe haiñ jaise yahīñ ke hoñ
haa.e ye dard-e-ishq jo zanjīr-e-pā huā
chhīnī hai ishq ne tab-o-tāb-e-dimāġh-o-dil
maiñ kaise shāh-zor se zor-āzmā huā
ghar se chalo to bāñdh ke sar se kafan chalo
shahr-e-vafā se dasht-e-fanā hai milā huā
dil de ke ḳhush huuñ maiñ ki hifāzat kā ġham gayā
tujh se qarīb hai vo jo mujh se judā huā
lab se lagā to bhuul ga.e ham ġham-e-hayāt
sāġhar meñ koī tujh sā hasīñ hai chhupā huā
pī ham ne ḳhuub 'arsh' kashīd-e-nigāh-o-dil
kis mai-kade kā dar thā jo ham par na vā huā
ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua
daryuza-gar samajh ke to thi multafit hayat
wo yun kaho ki daman-e-dil hi na wa hua
Duba kuchh is tarah se mera aaftab-e-dil
sab kuchh hua ye phir na sahar-ashna hua
yun us ke dar pe baiThe hain jaise yahin ke hon
hae ye dard-e-ishq jo zanjir-e-pa hua
chhini hai ishq ne tab-o-tab-e-dimagh-o-dil
main kaise shah-zor se zor-azma hua
ghar se chalo to bandh ke sar se kafan chalo
shahr-e-wafa se dasht-e-fana hai mila hua
dil de ke KHush hun main ki hifazat ka gham gaya
tujh se qarib hai wo jo mujh se juda hua
lab se laga to bhul gae hum gham-e-hayat
saghar mein koi tujh sa hasin hai chhupa hua
pi hum ne KHub 'arsh' kashid-e-nigah-o-dil
kis mai-kade ka dar tha jo hum par na wa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.