band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga
band āñkhoñ se na husn-e-shab kā andāza lagā
mahmil-e-dil se nikal sar ko havā taaza lagā
dekh rah jaa.e na tū ḳhvāhish ke gumbad meñ asiir
ghar banātā hai to sab se pahle darvāza lagā
haañ samundar meñ utar lekin ubharne kī bhī soch
Dūbne se pahle gahrā.ī kā andāza lagā
har taraf se aa.egā terī sadāoñ kā javāb
chup ke changul se nikal aur ek āvāza lagā
sar uThā kar chalne kī ab yaad bhī baaqī nahīñ
mere jhukne se merī zillat kā andāza lagā
lafz ma.anī se gurezāñ haiñ to un meñ rañg bhar
chehra hai be-nūr to us par koī ġhāza lagā
aaj phir vo aate aate rah gayā aur aaj phir
sar-ba-sar bikhrā huā hastī kā shīrāza lagā
rahm khā kar 'arsh' us ne is taraf dekhā magar
ye bhī dil de baiThne kā mujh ko ḳhamyāza lagā
band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga
mahmil-e-dil se nikal sar ko hawa taza laga
dekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir
ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga
han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahrai ka andaza laga
har taraf se aaega teri sadaon ka jawab
chup ke changul se nikal aur ek aawaza laga
sar uTha kar chalne ki ab yaad bhi baqi nahin
mere jhukne se meri zillat ka andaza laga
lafz mani se gurezan hain to un mein rang bhar
chehra hai be-nur to us par koi ghaza laga
aaj phir wo aate aate rah gaya aur aaj phir
sar-ba-sar bikhra hua hasti ka shiraaza laga
rahm kha kar 'arsh' us ne is taraf dekha magar
ye bhi dil de baiThne ka mujh ko KHamyaza laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.