kaisa matam kaisa rona miTTi ka
kaisā mātam kaisā ronā miTTī kā
TuuT gayā hai ek khilaunā miTTī kā
utrūñgā āfāq se jab maiñ dhartī par
bhar lūñgā dāman meñ sonā miTTī kā
ik din miTTī oḌh ke mujh ko sonā hai
kyā ġham jo hai aaj bichhaunā miTTī kā
ūñchā uḌne kī ḳhvāhish meñ tum 'ārif'
maaoñ jaisā pyaar na khonā miTTī kā
kaisa matam kaisa rona miTTi ka
TuT gaya hai ek khilauna miTTi ka
utrunga aafaq se jab main dharti par
bhar lunga daman mein sona miTTi ka
ek din miTTi oDh ke mujh ko sona hai
kya gham jo hai aaj bichhauna miTTi ka
uncha uDne ki KHwahish mein tum 'arif'
maon jaisa pyar na khona miTTi ka
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 118)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.