achchhe mausam mein tag-o-taz bhi kar leta hun
achchhe mausam meñ tag-o-tāz bhī kar letā huuñ
par nikal aate haiñ parvāz bhī kar letā huuñ
tujh se ye kaisā ta.alluq hai jise jab chāhūñ
ḳhatm kar detā huuñ āġhāz bhī kar letā huuñ
ġhumbad-e-zāt meñ jab gūñjne lagtā huuñ bahut
ḳhāmushī toḌ ke āvāz bhī kar letā huuñ
yuuñ to is habs se mānūs haiñ sāñseñ merī
vaise dīvār meñ dar baaz bhī kar letā huuñ
sab ke sab ḳhvāb maiñ taqsīm nahīñ kar detā
ek do ḳhvāb pas-andāz bhī kar letā huuñ
achchhe mausam mein tag-o-taz bhi kar leta hun
par nikal aate hain parwaz bhi kar leta hun
tujh se ye kaisa talluq hai jise jab chahun
KHatm kar deta hun aaghaz bhi kar leta hun
ghumbad-e-zat mein jab gunjne lagta hun bahut
KHamushi toD ke aawaz bhi kar leta hun
yun to is habs se manus hain sansen meri
waise diwar mein dar baz bhi kar leta hun
sab ke sab KHwab main taqsim nahin kar deta
ek do KHwab pas-andaz bhi kar leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.