Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ajmal Siddiqui's Photo'

Ajmal Siddiqui

1981 | Delhi, India

Ajmal Siddiqui

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 11

aas pe terī bikhrā detā huuñ kamre sab chīzeñ

aas bikharne par sab chīzeñ ḳhud uThā ke rakhtā huuñ

aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen

aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun

bol paḌtā to mirī baat mirī rahtī

ḳhāmushī ne haiñ diye sab ko fasāne kyā kyā

bol paDta to meri baat meri hi rahti

KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya

bāzār meñ ik chiiz nahiñ kaam mere

ye shahr mirī jeb rakhtā hai bharam ḳhuub

bazar mein ek chiz nahin kaam ki mere

ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam KHub

kabhī ḳhauf thā tire hijr kabhī aarzū ke zavāl

rahā hijr-o-vasl ke darmiyāñ tujhe kho sakā na maiñ sakā

kabhi KHauf tha tere hijr ka kabhi aarzu ke zawal ka

raha hijr-o-wasl ke darmiyan tujhe kho saka na main pa saka

kyā kyā na paḌhā is maktab meñ, kitne hunar sīkhe haiñ yahāñ

iz.hār kabhī āñkhoñ se kiyā kabhī had se sivā bebāk huā

kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan

izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua

RELATED Blog

 

RELATED Poets

More Poets From "Delhi"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now