Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

Ajmal Siddiqui

itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

Ajmal Siddiqui

MORE BYAjmal Siddiqui

    itrātā garebāñ par thā bahut, rah-e-ishq meñ kab chaak huā

    vo qissa-e-āzādāna-ravī, us zulf ke hāthoñ paak huā

    kyā kyā na paḌhā is maktab meñ, kitne hunar sīkhe haiñ yahāñ

    iz.hār kabhī āñkhoñ se kiyā kabhī had se sivā bebāk huā

    jis din se gayā vo jān-e-ġhazal har misre sūrat bigḌī

    har lafz pareshāñ dikhtā hai, is darja varaq namnāk huā

    ḳhush rahiyo sun ai bād-e-sabā kahīñ aur apne naaz dikhā

    jis ke baal uḌātī thī vo shaḳhs to kab ḳhaak huā

    itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

    wo qissa-e-azadana-rawi, us zulf ke hathon pak hua

    kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan

    izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua

    jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigDi

    har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua

    KHush rahiyo sun ai baad-e-saba kahin aur tu apne naz dikha

    tu jis ke baal uDati thi wo shaKHs to kab ka KHak hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now