jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
Ahmad Salman
MORE BYAhmad Salman
jo ham pe guzre the ranj saare jo ḳhud pe guzre to log samjhe
jab apnī apnī mohabbatoñ ke azaab jhele to log samjhe
vo jin daraḳhtoñ kī chhāñv meñ se musāfiroñ ko uThā diyā thā
unhīñ daraḳhtoñ pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
us ek kachchī sī umr vaalī ke falsafe ko koī na samjhā
jab us ke kamre se laash niklī ḳhutūt nikle to log samjhe
vo ḳhvāb the hī chañbeliyoñ se so sab ne hākim kī kar lī bai'at
phir ik chañbelī kī oT meñ se jo saañp nikle to log samjhe
vo gaañv kā ik za.iif dahqāñ saḌak ke banñe pe kyuuñ ḳhafā thā
jab un ke bachche jo shahr jākar kabhī na lauTe to log samjhe
jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
jab apni apni mohabbaton ke azab jhele to log samjhe
wo jin daraKHton ki chhanw mein se musafiron ko uTha diya tha
unhin daraKHton pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
us ek kachchi si umr wali ke falsafe ko koi na samjha
jab us ke kamre se lash nikli KHutut nikle to log samjhe
wo KHwab the hi chanbeliyon se so sab ne hakim ki kar li bai'at
phir ek chanbeli ki oT mein se jo sanp nikle to log samjhe
wo ganw ka ek zaif dahqan saDak ke banne pe kyun KHafa tha
jab un ke bachche jo shahr jakar kabhi na lauTe to log samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.