aaftab
Interesting Fact
Translation: Gayatri, From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
ai āftāb rūh-o-ravān-e-jahāñ hai tū
shīrāza-band daftar-e-kaun-o-makāñ hai tū
baa.is hai tū vajūd-o-adam kī numūd kā
hai sabz tere dam se chaman hast-o-būd kā
qaa.em ye unsuroñ kā tamāshā tujhī se hai
har shai meñ zindagī kā taqāzā tujhī se hai
har shai ko terī jalva-garī se sabāt hai
terā ye soz-o-sāz sarāpā hayāt hai
vo āftāb jis se zamāne meñ nuur hai
dil hai ḳhirad hai rūh-e-ravāñ hai shu.ūr hai
a āftāb ham ko ziyā-e-shu.ūr de
chashm-e-ḳhirad ko apnī tajallī se nuur de
hai mahfil-e-vajūd kā sāmāñ-tarāz to
yazdān-e-sākinān-e-nasheb-o-farāz tū
terā kamāl-e-hastī har jān-dār meñ
terī numūd silsila-e-kohsār meñ
har chiiz kī hayāt kā parvardigār tū
zā.īdgān-e-nūr kā hai tājdār tū
nai ibtidā koī na koī intihā tirī
āzād qaid-e-avval-o-āḳhir ziyā tirī
ai aaftab ruh-o-rawan-e-jahan hai tu
shiraaza-band daftar-e-kaun-o-makan hai tu
bais hai tu wajud-o-adam ki numud ka
hai sabz tere dam se chaman hast-o-bud ka
qaem ye unsuron ka tamasha tujhi se hai
har shai mein zindagi ka taqaza tujhi se hai
har shai ko teri jalwa-gari se sabaat hai
tera ye soz-o-saz sarapa hayat hai
wo aaftab jis se zamane mein nur hai
dil hai KHirad hai ruh-e-rawan hai shuur hai
a aaftab hum ko ziya-e-shuur de
chashm-e-KHirad ko apni tajalli se nur de
hai mahfil-e-wajud ka saman-taraaz to
yazdan-e-sakinan-e-nasheb-o-faraaz tu
tera kamal-e-hasti har jaan-dar mein
teri numud silsila-e-kohsar mein
har chiz ki hayat ka parwardigar tu
zaidgan-e-nur ka hai tajdar tu
nai ibtida koi na koi intiha teri
aazad qaid-e-awwal-o-aKHir ziya teri
- Book : کلیات اقبال (Pg. 44)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.