nai aurat ka tarana
Interesting Fact
(After reading Kishwar Nahid's Nazm 'Charge sheet'
haañ darvāze par chaḌhī kunDī utaar lī ga.ī hai
magar darvāzoñ ko kholne ke liye
ḳhud hī chal kar jaanā hogā
āñkhoñ kī paTTī khol diye jaane par bhī
bīnā.ī ko nigāh kī aadat dhīre dhīre hī paḌtī hai
hoñToñ par lagī mohreñ haT jaane par bhī
bolne ke liye zabān ko alfāz kī mashq karānī hotī hai
āzād to dimāġh ko honā hai
sirf jism kī āzādī koī ma.anī nahīñ rakhtī
sar kī chādar se apnī barahnagī apne hāthoñ Dhaknī hogī
sar par taaj hai aur pairoñ meñ beḌiyāñ
kyā ajiib nahīñ lagtā
zinā se le kar aadhī gavāhī tak
be-shak ye charge-shēt bahut lambī hai
lekin mujhe is ke baare meñ sochne kī
na fursat hai na zarūrat
vaise bhī ye charge-shēt merī adam-maujūdgī meñ tayyār kī ga.ī thī
dushnām mile yā in.aam mujhe is se koī farq nahīñ paḌtā
mujhe to apne āzād hāthoñ se apne pairoñ kī beḌiyāñ haTā kar
is malgaje añdhere ko apnī palkoñ se baTor kar
kināre lagānā hai
darvāze tak jaanā hai
ki in band paTToñ se bāhar ek khulī fazā
merā intizār kar rahī hai
jahāñ maiñ kam-az-kam āzādī se saañs to le sakūñgī
haañ maiñ shahr meñ dāḳhil hone vaalī pahlī aurat huuñ
kahīñ bhī pahuñchne ke liye uThāyā huā
pahlā qadam
han darwaze par chaDhi kunDi utar li gai hai
magar darwazon ko kholne ke liye
KHud hi chal kar jaana hoga
aankhon ki paTTi khol diye jaane par bhi
binai ko nigah ki aadat dhire dhire hi paDti hai
honTon par lagi mohren haT jaane par bhi
bolne ke liye zaban ko alfaz ki mashq karani hoti hai
aazad to dimagh ko hona hai
sirf jism ki aazadi koi mani nahin rakhti
sar ki chadar se apni barahnagi apne hathon Dhakni hogi
sar par taj hai aur pairon mein beDiyan
kya ajib nahin lagta
zina se le kar aadhi gawahi tak
be-shak ye charge-sheet bahut lambi hai
lekin mujhe is ke bare mein sochne ki
na fursat hai na zarurat
waise bhi ye charge-sheet meri adam-maujudgi mein tayyar ki gai thi
dushnam mile ya inam mujhe is se koi farq nahin paDta
mujhe to apne aazad hathon se apne pairon ki beDiyan haTa kar
is malgaje andhere ko apni palkon se baTor kar
kinare lagana hai
darwaze tak jaana hai
ki in band paTTon se bahar ek khuli faza
mera intizar kar rahi hai
jahan main kam-az-kam aazadi se sans to le sakungi
han main shahr mein daKHil hone wali pahli aurat hun
kahin bhi pahunchne ke liye uThaya hua
pahla qadam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.