sanp ko mat jaga
Interesting Fact
In the sixth line, "Shakhandi" played an important role in Mahabharata, "Andrew", meaning both male and female. Bhishm Patamah regarded Shikhandi a Female and refused to shoot at her.
saañp soyā huā hai baḌī der se
sardiyoñ kī añdherī piTārī meñ kunDal sā lipTā huā
apnī iklautī band aañkh khole hue
pichhlī rut ke kisī biin ke sur se sarshār
phan ko uThāne ke ḳhvāboñ se do-chār hai
saañp ko mat jagā, ai shukhanDī Thahar
saañp ek baar bedār ho kar uThā
to vo aadat se majbūr phan ko uThā.e hue
aane vaale kisī sard mausam talak
baizavī bāñbiyāñ DhūñDhtā
ghaas meñ jā-ba-jā laplapātā phiregā
sanp soya hua hai baDi der se
sardiyon ki andheri piTari mein kunDal sa lipTa hua
apni iklauti band aankh khole hue
pichhli rut ke kisi bin ke sur se sarshaar
phan ko uThane ke KHwabon se do-chaar hai
sanp ko mat jaga, ai shukhanDi Thahar
sanp ek bar bedar ho kar uTha
to wo aadat se majbur phan ko uThae hue
aane wale kisi sard mausam talak
baizawi banbiyan DhunDhta
ghas mein ja-ba-ja laplapata phirega
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 61)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.