hai jo tasir si fughan mein abhi
hai jo tāsīr sī fuġhāñ meñ abhī
log baaqī haiñ kuchh jahāñ meñ abhī
dil se uThtā hai sub.h-o-shām dhuāñ
koī rahtā hai is makāñ meñ abhī
saath hai ek umr kā lekin
kashmakash sī hai jism-o-jāñ meñ abhī
mar na rahiye to aur kyā kiije
jaan hai jism-e-nā-tavāñ meñ abhī
aur kuchh din ḳharāb ho liije
suud apnā hai is ziyāñ meñ abhī
vo manāzir mirī nigāh meñ haiñ
jo nahīñ vahm meñ gumāñ meñ abhī
nahīñ fāriġh zamīn se 'anjum'
kaam baaqī hai āsmāñ meñ abhī
hai jo tasir si fughan mein abhi
log baqi hain kuchh jahan mein abhi
dil se uThta hai subh-o-sham dhuan
koi rahta hai is makan mein abhi
sath hai ek umr ka lekin
kashmakash si hai jism-o-jaan mein abhi
mar na rahiye to aur kya kije
jaan hai jism-e-na-tawan mein abhi
aur kuchh din KHarab ho lije
sud apna hai is ziyan mein abhi
wo manazir meri nigah mein hain
jo nahin wahm mein guman mein abhi
nahin farigh zamin se 'anjum'
kaam baqi hai aasman mein abhi
- Book : Dastavez (Pg. 33)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.