azizan sitamgar na aaya mere ghar
Interesting Fact
It's the first ghazal of its kind where both lines of each sher has a same set of words.
azīzāñ sitamgar na aayā mire ghar
na aayā mire ghar azīzāñ sitamgar
mohabbat tū mat kar dil us bevafā se
dil us bevafā se mohabbat tū mat kar
lagā dil meñ ḳhanjar tumhārī nigah kā
tumhārī nigah kā lagā dil meñ ḳhanjar
huā kyuuñ mukaddar tū ai ā.ina-rū
tū ai ā.ina-rū huā kyuuñ mukaddar
vo iizā mukarrar tujhe degā 'tābāñ'
tujhe degā 'tābāñ' vo iizā mukarrar
azizan sitamgar na aaya mere ghar
na aaya mere ghar azizan sitamgar
mohabbat tu mat kar dil us bewafa se
dil us bewafa se mohabbat tu mat kar
laga dil mein KHanjar tumhaari nigah ka
tumhaari nigah ka laga dil mein KHanjar
hua kyun mukaddar tu ai aaina-ru
tu ai aaina-ru hua kyun mukaddar
wo iza mukarrar tujhe dega 'taban'
tujhe dega 'taban' wo iza mukarrar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.