Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta

Iffat Zarrin

agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta

Iffat Zarrin

MORE BYIffat Zarrin

    agar vo mil ke bichhaḌne hausla rakhtā

    to darmiyāñ na muqaddar faisla rakhtā

    vo mujh ko bhuul chukā ab yaqīn hai varna

    vafā nahīñ to jafāoñ silsila rakhtā

    bhaTak rahe haiñ musāfir to rāste gum haiñ

    añdherī raat meñ dīpak koī jalā rakhtā

    mahak mahak ke bikhartī haiñ us ke āñgan meñ

    vo apne ghar darīcha agar khulā rakhtā

    agar vo chāñd bastī rahne vaalā thā

    to apne saath sitāroñ qāfila rakhtā

    jise ḳhabar nahīñ ḳhud apnī zaat 'zarrīñ'

    vo dūsroñ bhalā kis tarah patā rakhtā

    agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta

    to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta

    wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna

    wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta

    bhaTak rahe hain musafir to raste gum hain

    andheri raat mein dipak koi jala rakhta

    mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein

    wo apne ghar ka daricha agar khula rakhta

    agar wo chand ki basti ka rahne wala tha

    to apne sath sitaron ka qafila rakhta

    jise KHabar nahin KHud apni zat ki 'zarrin'

    wo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now