oracle
raat ke sard lab
lafz kahte hai.n
dard kaa sutuu.n
lafz nahii.n patthar nahii.n
patthar nahii.n ko.ii saaya
mahaz dhu.aa.n ban ke u.D jaane vaalaa KHayaal
mire tahliil hote hu.e ho.nTo.n se bahte hu.e
haqiiqii paanii kii tarah
sachchaa.ii kaa lafz
jo mirii Galatiyo.n kaa sabab hai
agar yahii maut hai to mai.n is ke baa'is zinda huu.n
agar yahii sukuut hai to merii aavaaz isii ke baa'is hai
agar yahii yaad-daasht hai to mujhe kuchh bhii yaad nahii.n
mai.n nahii.n jaantaa ki ye lafz mujhe kyaa kah rahaa hai
magar is pe yaqiin rakhte hu.e
KHud ko is ke havaale kar detaa huu.n
kaise jaane.n ki ham zinda hai.n?
vaqt jo mahaz niim-vaa aa.nkho.n se hame.n dekhtaa hai
KHud ko bhii zaahir kar detaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.