tanhaa.ii
aaj bahut a.ndheraa hai; baarish se
pahaa.D nazar nahii.n aa rahaa iklautii aavaaz
baarish kii hai zindagii ko zer-e-zamii.n le jaatii hu.ii
aur baarish ke saath sardii aatii hai
aaj ko.ii chaa.nd nahii.n hogaa na taare
havaa raat ko chalii
puurii sub.h gandum ke saath ulajhtii rahii
dopahar ko KHatm ho ga.ii lekin tuufaan jaarii rahaa
kheto.n ko bhigotaa aur phir sharaabor kartaa hu.aa
dhartii Gaa.eb ho ga.ii hai
dekhne ko kuchh nahii.n hai sirf baarish
a.ndherii khi.Dkiyo.n ke piichhe chamaktii hai
ye vo aaraam-gaah hai jahaa.n ko.ii hal-chal nahii.n hotii
ab ham apne asl vujuud kii or lauTte hai.n
a.ndhere me.n rah rahe jaanvar
baGair zabaan yaa biinaa.ii ke
kuchh saabit nahii.n kartaa ki mai.n zinda huu.n
yahaa.n sirf baarish hai baarish be-ant hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.