Sher on Yaad-e-Raftagan
Who can get rid of memories?
None indeed. In fact, memories bring us the pains and pleasures of things past that sustain us through the thick and thin of life. Creative minds make use of memories in most remarkable ways and make the act of living meaningful. Some verses around the subject would help you appreciate how they make our lives meaningful.
vo koī dost thā achchhe dinoñ kā
jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai
wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
-
Tags : Dostand 1 more
vo rāteñ chāñd ke saath ga.iiñ vo bāteñ chāñd ke saath ga.iiñ
ab sukh ke sapne kyā dekheñ jab dukh kā sūraj sar par ho
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
-
Tags : Chaandand 1 more
jaane vaale kabhī nahīñ aate
jaane vāloñ kī yaad aatī hai
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
-
Tags : Tributeand 1 more
ab yād-e-raftagāñ kī bhī himmat nahīñ rahī
yāroñ ne kitnī duur basā.ī haiñ bastiyāñ
ab yaad-e-raftagan ki bhi himmat nahin rahi
yaron ne kitni dur basai hain bastiyan
-
Tag : Famous shayari
jinheñ ham dekh kar jiite the 'nāsir'
vo log āñkhoñ se ojhal ho ga.e haiñ
jinhen hum dekh kar jite the 'nasir'
wo log aankhon se ojhal ho gae hain
bichhḌe logoñ se mulāqāt kabhī phir hogī
dil meñ ummīd to kaafī hai yaqīñ kuchh kam hai
bichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai
uTh ga.ī haiñ sāmne se kaisī kaisī sūrateñ
roiye kis ke liye kis kis kā mātam kījiye
uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten
roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye
-
Tags : Mautand 1 more
ik zamāna thā ki sab ek jagah rahte the
aur ab koī kahīñ koī kahīñ rahtā hai
ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
vo log apne aap meñ kitne aziim the
jo apne dushmanoñ se bhī nafrat na kar sake
wo log apne aap mein kitne azim the
jo apne dushmanon se bhi nafrat na kar sake
haa.e vo log jo dekhe bhī nahīñ
yaad aa.eñ to rulā dete haiñ
hae wo log jo dekhe bhi nahin
yaad aaen to rula dete hain
-
Tag : Yaad
udaas shaam kī yādoñ bharī sulagtī havā
hameñ phir aaj purāne dayār le aa.ī
udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa
hamein phir aaj purane dayar le aai
-
Tag : Yaad
rāsto kyā hue vo log ki āte-jāte
mere ādāb pe kahte the ki jiite rahiye
rasto kya hue wo log ki aate-jate
mere aadab pe kahte the ki jite rahiye
sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain
-
Tags : Tributeand 1 more
zindagī jin ke tasavvur se jilā paatī thī
haa.e kyā log the jo dām-e-ajal meñ aa.e
zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi
hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae
kitne achchhe log the kyā raunaqeñ thiiñ un ke saath
jin kī ruḳhsat ne hamārā shahr suunā kar diyā
kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath
jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya
jinheñ ab gardish-e-aflāk paidā kar nahīñ saktī
kuchh aisī hastiyāñ bhī dafn haiñ gor-e-ġharībāñ meñ
jinhen ab gardish-e-aflak paida kar nahin sakti
kuchh aisi hastiyan bhi dafn hain gor-e-ghariban mein
jis kī sāñsoñ se mahakte the dar-o-bām tire
ai makāñ bol kahāñ ab vo makīñ rahtā hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
vo vaqt bhī aatā hai jab āñkhoñ meñ hamārī
phirtī haiñ vo shakleñ jinheñ dekhā nahīñ hotā
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari
phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota
jin pe nāzāñ the ye zamīn o falak
ab kahāñ haiñ vo sūrateñ baaqī
jin pe nazan the ye zamin o falak
ab kahan hain wo suraten baqi
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
-
Tag : Tribute
vo jin ke naqsh-e-qadam dekhne meñ aate haiñ
ab aise log to kam dekhne meñ aate haiñ
wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain
ab aise log to kam dekhne mein aate hain
jo mirī shaboñ ke charāġh the jo mirī umiid ke baaġh the
vahī log haiñ mirī aarzū vahī sūrateñ mujhe chāhiyeñ
jo meri shabon ke charagh the jo meri umid ke bagh the
wahi log hain meri aarzu wahi suraten mujhe chahiyen
kaise qisse the ki chhiḌ jaa.eñ to uḌ jaatī thī niiñd
kyā ḳhabar thī vo bhī harf-e-muḳhtasar ho jā.eñge
kaise qisse the ki chhiD jaen to uD jati thi nind
kya KHabar thi wo bhi harf-e-muKHtasar ho jaenge
mohabbateñ bhī usī aadmī kā hissa thiiñ
magar ye baat purāne zamāne vaalī hai
mohabbaten bhi usi aadmi ka hissa thin
magar ye baat purane zamane wali hai
jis kā sākin hai mirī zaat meñ ab tak zinda
phuul us qabr pe jā kar maiñ chaḌhā.ūñ kaise
jis ka sakin hai meri zat mein ab tak zinda
phul us qabr pe ja kar main chaDhaun kaise