Sher on Unity
Unity is a big human
strength. We celebrate its presence and deplore its absence in our day-to-day lives. This forms the basis of a good social order and ensures peace and harmony in society. We come across many conditions in our individual and social lives that determine our identity in relation to unity. Many facets of unity are presented in the shers selected for you under this category. You may have a glimpse of these here.
ḳhanjar chale kisī pe taḌapte haiñ ham 'amīr'
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
KHanjar chale kisi pe taDapte hain hum 'amir'
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
-
Tags : Famous shayariand 1 more
saat sandūqoñ meñ bhar kar dafn kar do nafrateñ
aaj insāñ ko mohabbat kī zarūrat hai bahut
sat sanduqon mein bhar kar dafn kar do nafraten
aaj insan ko mohabbat ki zarurat hai bahut
jañg to ḳhud hī ek mas.ala hai
jañg kyā mas.aloñ kā hal degī
jang to KHud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
-
Tag : Peace
ham apnī jaan ke dushman ko apnī jaan kahte haiñ
mohabbat kī isī miTTī ko hindustān kahte haiñ
hum apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain
mohabbat ki isi miTTi ko hindustan kahte hain
ek ho jaa.eñ to ban sakte haiñ ḳhurshīd-e-mubīñ
varna in bikhre hue tāroñ se kyā kaam bane
ek ho jaen to ban sakte hain KHurshid-e-mubin
warna in bikhre hue taron se kya kaam bane
-
Tags : Famous shayariand 1 more
'hafīz' apnī bolī mohabbat kī bolī
na urdu na hindī na hindostānī
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
diloñ meñ hubb-e-vatan hai agar to ek raho
nikhārnā ye chaman hai agar to ek raho
dilon mein hubb-e-watan hai agar to ek raho
nikhaarna ye chaman hai agar to ek raho
-
Tags : Deshbhaktiand 1 more
sagī bahnoñ kā jo rishta hai urdu aur hindī meñ
kahīñ duniyā kī do zinda zabānoñ meñ nahīñ miltā
sagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi mein
kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahin milta
ab to maz.hab koī aisā bhī chalāyā jaa.e
jis meñ insān ko insān banāyā jaa.e
ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae
jis mein insan ko insan banaya jae
yahī hai ibādat yahī diin o īmāñ
ki kaam aa.e duniyā meñ insāñ ke insāñ
yahi hai ibaadat yahi din o iman
ki kaam aae duniya mein insan ke insan
ik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jaa.e
jis kā ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
-
Tags : Aanganand 2 more
mujh meñ thoḌī sī jagah bhī nahīñ nafrat ke liye
maiñ to har vaqt mohabbat se bharā rahtā huuñ
mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye
main to har waqt mohabbat se bhara rahta hun
ajiib dard kā rishta hai saarī duniyā meñ
kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
-
Tag : Peace
ye duniyā nafratoñ ke āḳhrī stage pe hai
ilaaj is kā mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
ye duniya nafraton ke aaKHri stage pe hai
ilaj is ka mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin hai
nafrat ke ḳhazāne meñ to kuchh bhī nahīñ baaqī
thoḌā sā guzāre ke liye pyaar bachā.eñ
nafrat ke KHazane mein to kuchh bhi nahin baqi
thoDa sa guzare ke liye pyar bachaen
hamārā ḳhuun kā rishta hai sarhadoñ kā nahīñ
hamāre ḳhuun meñ gañgā bhī chanāb bhī hai
hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin
hamare KHun mein ganga bhi chanab bhi hai
hamāre ġham tumhāre ġham barābar haiñ
so is nisbat se tum aur ham barābar haiñ
hamare gham tumhaare gham barabar hain
so is nisbat se tum aur hum barabar hain
ahl-e-hunar ke dil meñ dhaḌakte haiñ sab ke dil
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
ranjisheñ aisī hazār aapas meñ hotī haiñ dilā
vo agar tujh se ḳhafā hai tū hī jā mil kyā huā
ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila
wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua
suno hindū musalmāno ki faiz-e-ishq se 'hātim'
huā āzād qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab fāriġh
suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'
hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh
ham ahl-e-dil ne me.ayār-e-mohabbat bhī badal Daale
jo ġham har fard kā ġham hai usī ko ġham samajhte haiñ
hum ahl-e-dil ne meayar-e-mohabbat bhi badal Dale
jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samajhte hain
-
Tag : Gham
mire sehan par khulā āsmān rahe ki maiñ
use dhuup chhāñv meñ bāñTanā nahīñ chāhtā
mere sehan par khula aasman rahe ki main
use dhup chhanw mein banTana nahin chahta
pī sharāb nām-e-rindāñ tā asar suuñ kaif ke
zikr-e-allāh allāh ho ve gar kahe tū raam raam
pi sharab nam-e-rindan ta asar sun kaif ke
zikr-e-allah allah ho we gar kahe tu ram ram