'hasrat' kī bhī qubūl ho mathurā meñ hāzirī
sunte haiñ āshiqoñ pe tumhārā karam hai aaj
'hasrat' ki bhi qubul ho mathura mein haziri
sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj
jahāñ dekho vahāñ maujūd merā kirshn pyārā hai
usī kā sab hai jalva jo jahāñ meñ āshkārā hai
jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai
usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai
paiġhām-e-hayāt-e-jāvedāñ thā
har naġhma-e-krishn bāñsurī kā
paigham-e-hayat-e-jawedan tha
har naghma-e-krishn bansuri ka
vo rātoñ-rāt 'sirī-krishn' ko uThā.e hue
balā kī qaid se 'basdev' kā nikal jaanā
wo raaton-raat 'siri-krishn' ko uThae hue
bala ki qaid se 'basdew' ka nikal jaana
dīvār-o-dar pe kirshn kī liilā ke naqsh haiñ
mandir hai ye to 'krishn' ke darbār kī tarah
diwar-o-dar pe kirshn ki lila ke naqsh hain
mandir hai ye to 'krishn' ke darbar ki tarah