Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Religion

quote

Leader Jab Aansoo Bahaa Kar Logon Se Kahte Hain Ki Mazhab Khatre Mein Hai To Ismein Koi Haqeeqat Nahi Hoti. Mazhab Aisi Cheez Hi Nahi Ki Khatre Mein Pad Sake, Agar Kisi Baat Ka Khatra Hai To Woh Leaderon Ka Hai Jo Apna Ulloo Seedha Karne Ke Liye Mazhab Ko Khatre Mein Daalte Hain.

Saadat Hasan Manto
quote

Pahle Mazhab Seenon Mein Hota Tha, Aaj-kal Topiyon Mein Hota Hai. Siyaasat Bhi Ab Topiyon Mein Chali Aayi Hai. Zindaabaad Topiyaan.

Hindustan Ko Un Leaderon Se Bachaao Jo Mulk Ki Fiza Bigaad Rahe Hain Aur Awaam Ko Gumraah Kar Rahe Hain.

Agar Hum Saabun Aur Lavender Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Mauryon Aur Badruon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jo Hamaare Badan Ka Mail Peeti Hain. Agar Hum Mandiron Aur Masjidon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Qahba-khaanon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Se Laut Kar Kaee Insaan Mandiron Aur Masjidon Ka Rukh Karte Hain... Hum Afyun, Charas, Bhang Aur Sharaab Ke Thekon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Kothon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Har Qism Ka Nasha Istemaal Kiya Jaata Hai.

जो मुल़्क जितना ग़ुर्बत-ज़दा होगा उतना ही आलू और मज़हब का चलन ज़्यादा होगा।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.

Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.

Saadat Hasan Manto
quote

Mazhab Khud Eik Bahut Bada Mas'ala Hai, Agar Isme Lapet Kar Kisi Aur Mas'ale Ko Dekha Jaye To Hamein Bahut Hu Maghz-dardi Karni Paregi.

Siyaasat Aur Mazhab Ki Laash Hamaare Naam-war Leader Apne Kandhe Par Uthaae Phirte Hain Aur Seedhe-saade Logon Ko Jo Har Baat Maan Lene Ke Aadi Hote Hain Ye Kahte-phirte Hain Ki Woh Is Laash Ko Az Sar-e-nau Zindagi Bakhsh Rahe Hain.

मेज़ाह, मज़हब और अल्कोह्ल हर चीज़ में ब-आसानी मिल जाते हैं।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Ruhaaniyat Yaqeenan Koi Cheez Hai, Aaj Ke Science Ke Zamaane Mein Jismein Atom Bum Tayyaar Kiya Ja Sakta Hai Aur Jaraaseem Phailaaye Ja Sakte Hain, Ye Cheez Baaz Ashaab Ke Nazdeek Muhmal Ho Sakti Hai Lekin Woh Log Jo Namaaz Aur Roze, Aarti Aur Keertan Se Roohaani Tahaarat Haasil Karte Hain Hum Unhein Paagal Nahi Kah Sakte. Aur Main Samajhta Hun Ki Bad-kirdaaron, Qaatilon Aur Saffaakon Ki Najaat Ka Raasta Sirf Roohaani Taaleem Hai, Mullaaee Tareeq Par Nahi, Taraqqi-pasand Usoolon Par.

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now