Sher on Nostalgia
Past fills us with sadness
sometimes. It is a strange to be in such a state. You too must have tasted it. You may like to read these verses that take you back in time and fill you with a mixed feeling of loss and recovery, joy and despair.
'jamāl' har shahr se hai pyārā vo shahr mujh ko
jahāñ se dekhā thā pahlī baar āsmān maiñ ne
'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne
-
Tag : Bachpan
paanī meñ aks aur kisī āsmāñ kā hai
ye naav kaun sī hai ye dariyā kahāñ kā hai
pani mein aks aur kisi aasman ka hai
ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai
-
Tag : Hijrat
asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhe
kahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe
-
Tag : Bachpan
yahī tashvīsh shab-o-roz hai bangāle meñ
lucknow phir kabhī dikhlā.e muqaddar merā
yahi tashwish shab-o-roz hai bangale mein
lucknow phir kabhi dikhlae muqaddar mera
lakīreñ khīñch ke miTTī pe baiTh jaatā huuñ
yahāñ makāñ thā ye bāzār ye galī us kī
lakiren khinch ke miTTi pe baiTh jata hun
yahan makan tha ye bazar ye gali us ki