vo ḳhush-kalām hai aisā ki us ke paas hameñ
tavīl rahnā bhī lagtā hai muḳhtasar rahnā
wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
-
Tags : Awazand 1 more
lahja ki jaise sub.h kī ḳhushbū azaan de
jī chāhtā hai maiñ tirī āvāz chuum luuñ
lahja ki jaise subh ki KHushbu azan de
ji chahta hai main teri aawaz chum lun
ḳhudā kī us ke gale meñ ajiib qudrat hai
vo boltā hai to ik raushnī sī hotī hai
KHuda ki us ke gale mein ajib qudrat hai
wo bolta hai to ek raushni si hoti hai
bolte rahnā kyūñki tumhārī bātoñ se
lafzoñ kā ye bahtā dariyā achchhā lagtā hai
bolte rahna kyunki tumhaari baaton se
lafzon ka ye bahta dariya achchha lagta hai
ajab lahja hai us kī guftugū kā
ġhazal jaisī zabāñ vo boltā hai
ajab lahja hai us ki guftugu ka
ghazal jaisi zaban wo bolta hai
us ġhairat-e-nāhīd kī har taan hai dīpak
sho.ala sā lapak jaa.e hai āvāz to dekho
us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak
shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho
-
Tag : Awaz
phuul kī ḳhushbū havā kī chaap shīshe kī khanak
kaun sī shai hai jo terī ḳhush-bayānī meñ nahīñ
phul ki KHushbu hawa ki chap shishe ki khanak
kaun si shai hai jo teri KHush-bayani mein nahin
lai meñ Duubī huī mastī bharī āvāz ke saath
chheḌ de koī ġhazal ik na.e andāz ke saath
lai mein Dubi hui masti bhari aawaz ke sath
chheD de koi ghazal ek nae andaz ke sath
charāġh jalte haiñ bād-e-sabā mahaktī hai
tumhāre husn-e-takallum se kyā nahīñ hotā
charagh jalte hain baad-e-saba mahakti hai
tumhaare husn-e-takallum se kya nahin hota
us kī āvāz meñ the saare ḳhad-o-ḳhāl us ke
vo chahaktā thā to hañste the par-o-bāl us ke
us ki aawaz mein the sare KHad-o-KHal us ke
wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke
-
Tag : Awaz
merī ye aarzū hai vaqt-e-marg
us kī āvāz kaan meñ aave
meri ye aarzu hai waqt-e-marg
us ki aawaz kan mein aawe
-
Tags : Aarzooand 1 more