Sher on Khud-aziyyati
Tormenting one’s own
self, or anyone else, is not an idea worth thinking about. But it also happens sometimes that one torments oneself out of frustration or pain that one may not put up with. This is a strange psychological state to be in. Poets have found it to be an experience worth writing about. We have collected some verses around this idea for you.
'mus.hafī' ham to ye samjhe the ki hogā koī zaḳhm
tere dil meñ to bahut kaam rafū kā niklā
'mushafi' hum to ye samjhe the ki hoga koi zaKHm
tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla
-
Tags : Famous shayariand 1 more
aisā karūñgā ab ke garebāñ ko taar taar
jo phir kisī tarah se kisī se rafū na ho
aisa karunga ab ke gareban ko tar tar
jo phir kisi tarah se kisi se rafu na ho
safar meñ har qadam rah rah ke ye taklīf hī dete
bahar-sūrat hameñ in ābloñ ko phoḌ denā thā
safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha
-
Tag : Aabla
rafū na kar ise ai baḳhiya-gar ḳhudā ke liye
ki chāk-e-dil se havā ḳhush-gavār aatī hai
rafu na kar ise ai baKHiya-gar KHuda ke liye
ki chaak-e-dil se hawa KHush-gawar aati hai
na rahā koī taar dāman meñ
ab nahīñ hājat-e-rafū mujh ko
na raha koi tar daman mein
ab nahin hajat-e-rafu mujh ko
kiyā hai chaak dil teġh-e-taġhāful siiñ tujh añkhiyoñ niiñ
nigah ke rishta o sozan suuñ palkāñ ke rafū kiije
kiya hai chaak dil tegh-e-taghaful sin tujh ankhiyon nin
nigah ke rishta o sozan sun palkan ke rafu kije