Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Girya-o-zari

The act of wailing is

an expression of human misery. It is, however, typically associated with lovers. He keeps lamenting over his separation from the beloved. It is one of the stock themes of classical poetry. Here are some examples

rote phirte haiñ saarī saarī raat

ab yahī rozgār hai apnā

rote phirte hain sari sari raat

ab yahi rozgar hai apna

Meer Taqi Meer

maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ

phir us ke baad gahrī niind sonā chāhtā huuñ maiñ

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main

phir us ke baad gahri nind sona chahta hun main

Farhat Ehsas

āñkheñ ḳhudā ne baḳhshī haiñ rone ke vāste

do kashtiyāñ milī haiñ Dubone ke vāste

aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste

do kashtiyan mili hain Dubone ke waste

Muneer Shikohabadi

nikal ga.e haiñ jo bādal barasne vaale the

ye shahr aab ko tarsegā chashm-e-tar ke baġhair

nikal gae hain jo baadal barasne wale the

ye shahr aab ko tarsega chashm-e-tar ke baghair

Saleem Ahmed

kyā kahūñ dīda-e-tar ye to mirā chehrā hai

sañg kaT jaate haiñ bārish jahāñ dhaar gire

kya kahun dida-e-tar ye to mera chehra hai

sang kaT jate hain barish ki jahan dhaar gire

Shakeb Jalali

ahvāl dekh kar mirī chashm-e-pur-āb

dariyā se aaj TuuT gayā dil habāb

ahwal dekh kar meri chashm-e-pur-ab ka

dariya se aaj TuT gaya dil habab ka

Joshish Azimabadi

rone pe agar aa.uuñ to dariyā ko Dubo duuñ

qatra koī samjhe na mire dīda-e-nam ko

rone pe agar aaun to dariya ko Dubo dun

qatra koi samjhe na mere dida-e-nam ko

Lala Madhav Ram Jauhar

zabt-e-girya kabhī kartā huuñ to farmāte haiñ

aaj kyā baat hai barsāt nahīñ hotī hai

zabt-e-girya kabhi karta hun to farmate hain

aaj kya baat hai barsat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

donoñ chashmoñ se marī ashk bahā karte haiñ

maujzan rahtā hai dariyā ke kināre dariyā

donon chashmon se mari ashk baha karte hain

maujzan rahta hai dariya ke kinare dariya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

sun ke har samt siskiyāñ maiñ ne

jaane kyoñ kar liiñ dūriyāñ maiñ ne

sun ke har samt siskiyan main ne

jaane kyon kar lin duriyan main ne

Ameeta Parsuram Meeta

raat din jaarī haiñ kuchh paidā nahīñ in kanār

mere chashmoñ do-ābā majma-ul-bahrain hai

raat din jari hain kuchh paida nahin in ka kanar

mere chashmon ka do-aba majma-ul-bahrain hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now