Sher on Ghamand
False Pride is a negative
human quality. It mars a man and demeans him; makes him selfish and narcissistic and does not allow him to see beyond his own self. In poetry, however, the beloved’s pride is of a different kind and it brings pain and suffering to the lover. Here is small selection on the subject of false pride.
āsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā hai
bhuul jaatā hai zamīñ se hī nazar aatā hai
aasman itni bulandi pe jo itraata hai
bhul jata hai zamin se hi nazar aata hai
shohrat kī bulandī bhī pal bhar kā tamāshā hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhī saktī hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai
-
Tags : Motivationaland 2 more
adā aa.ī jafā aa.ī ġhurūr aayā hijāb aayā
hazāroñ āfateñ le kar hasīnoñ par shabāb aayā
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
āsmānoñ meñ uḌā karte haiñ phūle phūle
halke logoñ ke baḌe kaam havā kartī hai
aasmanon mein uDa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam hawa karti hai
roz dīvār meñ chun detā huuñ maiñ apnī anā
roz vo toḌ ke dīvār nikal aatī hai
roz diwar mein chun deta hun main apni ana
roz wo toD ke diwar nikal aati hai
vo jis ghamanD se bichhḌā gila to is kā hai
ki saarī baat mohabbat meñ rakh-rakhāv kī thī
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi