Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Film Industry

quote

Main Adab Aur Film Ko Eik Aisa Mai-khaana Samajhta Hoon, Jiski Botlon Par Koi Lable Nahi Hota.

Saadat Hasan Manto
quote

Public Aisi Filmein Chaahti Hain Jinka Talluq Baraah-e-raast Unke Dil Se Ho. Jismaani Hissiyaat Se Mutalliq Cheezein Ziyaada Derpaa Nahi Hotin Magar Jin Cheezon Ka Talluq Rooh Se Hota Hai, Der Tak Qaayam Rahti Hain.

Jo Baat Mahinon Mein Khushk Taqreeron Se Nahi Samjhaai Ja Sakti, Chutkiyon Mein Eik Film Ke Zariye Se Zahan-nasheen Karaayi Ja Sakti Hai.

Actress Banne Se Peshtar Aurat Ko Ishq-o-mohabbat Ki Talkhiyon Aur Mithas Ke Alaawa Aur Bahut See Cheezon Se Aashna Hona Chahiye. Isliye Ki Jab Woh Kaimre Ke Saamne Aaye To Apne Carrector Ko Acchhi Tarah Adaa Kar Sake.

Actress Chakle Ki Waishya Ho Ya Kisi Ba-izzat Aur Shareef Gharaane Ki Aurat, Meri Nazron Mein Wo Sirf Actress Hai. Uski Sharaafat Ya Razaalat Se Mujhe Koi Sar-o-kaar Nahi. Isliye Ki Fun In Zaati Umoor Se Bahut Baala-tar Hai.

Filmon Ko Kamyaab Banaane Aur Sitaare Paida Karne Ke Liye Hamein Sitara-shanaas Nigaahon Ki Zaroorat Hai.

Agar Directoron Ka Apna-apna Style Na Hoga To Film Mutaharrik Tasaaweer Ke Yak-aahang Feete Ban Kar Rah Jaayenge.

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now