Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Exploitation

quote

Main Baghaawat Chahta Hun Har Us Fard Ke Khilaaf Baghaawat Chahta Hun Jo Humse Mehnat Karaata Hai Magar Uske Daam Adaa Nahi Karta.

Saadat Hasan Manto
quote

Humein Apne Qalam Se Rozi Kamaana Hai Aur Hum Is Zariye Se Rozi Kamaa Kar Rahenge. Yeh Hargiz Nahi Ho Sakta Ki Hum Aur Hamaare Baal-bachche Faaqe Marein Aur Jin Akhbaaron Aur Risaalon Mein Hamaare Mazaameen Chhapte Hain, Unke Maalik Khushhaal Rahein.

Aakhir Kab Tak Adeeb Eik Naakaara Aadmi Samjha Jaayega. Kab Tak Shaaer Ko Eik Gappein Haankne Waala Mutasawwar Kiya Jaayega, Kab Tak Hamaare Literature Par Chan Khud-gharaz Aur Hawas-parast Logon Ki Hukmuraani Rahegi. Kab Tak?

Adab Ki Raunaq Hamaare Dam Se Hai. Un Logon Ke Dam Se Nahi Hai Jinke Paas Chhaapne Ki Machinein, Siyaahi Aur An-ginat Kaaghaz Hain. Literature Ka Diya Hamaare Hi Dimaagh Ke Raughan Se Jalta Hai.

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now