Sher on Earthquake
Earthquake is a natural
calamity which causes huge disasters and turns everything upside down. All that human beings achieve after much pain and toil are brought to naught with one jerk of the earth. These verses underline how feeble is human being and how futile are his endeavours before God’s design. Various shades of this can be found in these verses.
zalzala aayā aur aa kar ho gayā ruḳhsat magar
vaqt ke ruḳh par tabāhī kī ibārat likh gayā
zalzala aaya aur aa kar ho gaya ruKHsat magar
waqt ke ruKH par tabahi ki ibarat likh gaya
tamām ḳhalq-e-ḳhudā zer-e-āsmāñ kī sameT
zamīñ ne khaa.ī va-lekin bharā na us kā peT
tamam KHalq-e-KHuda zer-e-asman ki sameT
zamin ne khai wa-lekin bhara na us ka peT
zalzala nepal meñ aayā ki hindostān meñ
zalzale ke naam se tharrā uThā saarā jahāñ
zalzala nepal mein aaya ki hindostan mein
zalzale ke nam se tharra uTha sara jahan
zalzaloñ kī numūd se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahīñ rahte
zalzalon ki numud se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahin rahte