Sher on Beqarari
Restlessness is an unwelcome
state of existence. In life, there may be many reasons for restlessness but in poetry it is usually the love that makes the two—the lover and the beloved—restless for each other. Interestingly, restlessness can also be a uniquely enjoyable state for the lover to be in. Here are a few samples on this theme.
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
-
Tags : Bechainiand 6 more
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ
jaise har shai meñ kisī shai kī kamī paatā huuñ maiñ
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main
jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
-
Tags : Bechainiand 2 more
ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil
ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
na kar 'saudā' tū shikva ham se dil kī be-qarārī kā
mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
tujh ko pā kar bhī na kam ho sakī be-tābī-e-dil
itnā āsān tire ishq kā ġham thā hī nahīñ
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil
itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtī hai
aisā lagtā hai ki kuchh TuuT gayā hai mujh meñ
ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai
aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein
samjhā liyā fareb se mujh ko to aap ne
dil se to pūchh lījiye kyuuñ be-qarār hai
samjha liya fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai
jo charāġh saare bujhā chuke unheñ intizār kahāñ rahā
ye sukūñ kā daur-e-shadīd hai koī be-qarār kahāñ rahā
jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha
ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha
sunā hai terī mahfil meñ sukūn-e-dil bhī miltā hai
magar ham jab tirī mahfil se aa.e be-qarār aa.e
suna hai teri mahfil mein sukun-e-dil bhi milta hai
magar hum jab teri mahfil se aae be-qarar aae
dil ko ḳhudā kī yaad tale bhī dabā chukā
kam-baḳht phir bhī chain na paa.e to kyā karūñ
dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka
kam-baKHt phir bhi chain na pae to kya karun
-
Tags : Bechainiand 1 more
dard ulfat kā na ho to zindagī kā kyā mazā
āh-o-zārī zindagī hai be-qarārī zindagī
dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza
aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi
-
Tags : Aahand 2 more
betāb sā phirtā hai ka.ī roz se 'āsī'
bechāre ne phir tum ko kahīñ dekh liyā hai
betab sa phirta hai kai roz se 'asi'
bechaare ne phir tum ko kahin dekh liya hai
nahīñ ilāj-e-ġham-e-hijr-e-yār kyā kiije
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār kiyā kiije
nahin ilaj-e-gham-e-hijr-e-yar kya kije
taDap raha hai dil-e-be-qarar kiya kije
dil pyaar kī nazar ke liye be-qarār hai
ik tiir is taraf bhī ye taaza shikār hai
dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai
ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai
har ek saañs mujhe khīñchtī hai us kī taraf
ye kaun mere liye be-qarār rahtā hai
har ek sans mujhe khinchti hai us ki taraf
ye kaun mere liye be-qarar rahta hai
qaul 'ābrū' kā thā ki na jā.ūñgā us galī
ho kar ke be-qarār dekho aaj phir gayā
qaul 'abru' ka tha ki na jaunga us gali
ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya
kisī tarah to ghaTe dil kī be-qarārī bhī
chalo vo chashm nahīñ kam se kam sharāb to ho
kisi tarah to ghaTe dil ki be-qarari bhi
chalo wo chashm nahin kam se kam sharab to ho
-
Tags : Diland 1 more
taḌap taḌap ke tamannā meñ karvaTeñ badlīñ
na paayā dil ne hamāre qarār saarī raat
taDap taDap ke tamanna mein karwaTen badlin
na paya dil ne hamare qarar sari raat
tumhāre āshiqoñ meñ be-qarārī kyā hī phailī hai
jidhar dekho jigar thāme hue do-chār baiThe haiñ
tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai
jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baiThe hain
dil ko is tarh dekhne vaale
dil agar be-qarār ho jaa.e
dil ko is tarh dekhne wale
dil agar be-qarar ho jae
-
Tag : Dil
jaane de sabr o qarār o hosh ko
tū kahāñ ai be-qarārī jā.egī
jaane de sabr o qarar o hosh ko
tu kahan ai be-qarari jaegi
shab-e-firāq kuchh aisā ḳhayāl-e-yār rahā
ki raat bhar dil-e-ġham-dīda be-qarār rahā
shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha
ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha
jo bhī hai dil meñ aap ke khul kar batā.iye hameñ
kahte haiñ aap Thiik haiñ rahte haiñ be-qarār se
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataiye hamein
kahte hain aap Thik hain rahte hain be-qarar se
-
Tag : pareshanii
raat jaatī hai maan lo kahnā
der se dil hai be-qarār apnā
raat jati hai man lo kahna
der se dil hai be-qarar apna
be-qarārī thī sab ummīd-e-mulāqāt ke saath
ab vo aglī sī darāzī shab-e-hijrāñ meñ nahīñ
be-qarari thi sab ummid-e-mulaqat ke sath
ab wo agli si daraazi shab-e-hijran mein nahin