ek hī shai thī ba-andāz-e-digar māñgī thī
maiñ ne bīnā.ī nahīñ tujh se nazar māñgī thī
ek hi shai thi ba-andaz-e-digar mangi thi
main ne binai nahin tujh se nazar mangi thi
ā.īna kaisā thā vo shām-e-shakebā.ī kā
sāmnā kar na sakā apnī hī bīnā.ī kā
aaina kaisa tha wo sham-e-shakebai ka
samna kar na saka apni hi binai ka
ab apne chehre par do patthar se sajā.e phirtā huuñ
aañsū le kar bech diyā hai āñkhoñ kī bīnā.ī ko
ab apne chehre par do patthar se sajae phirta hun
aansu le kar bech diya hai aankhon ki binai ko
ro ro ke log kahte the jaatī rahegī aañkh
aisā nahīñ huaa, mirī bīnā.ī baḌh ga.ī
ro ro ke log kahte the jati rahegi aankh
aisa nahin hua, meri binai baDh gai
ishq bīnā.ī baḌhā detā hai
jaane kyā kyā nazar aatā hai mujhe
ishq binai baDha deta hai
jaane kya kya nazar aata hai mujhe
bīnā.ī bhī kyā kyā dhoke detī hai
duur se dekho saare dariyā niile haiñ
binai bhi kya kya dhoke deti hai
dur se dekho sare dariya nile hain
terī bīnā.ī kisī din chhīn legā dekhnā
der tak rahnā tirā ye ā.inoñ ke darmiyāñ
teri binai kisi din chhin lega dekhna
der tak rahna tera ye aainon ke darmiyan
pal bhar meñ kaise log badal jaate haiñ yahāñ
dekho ki ye mufīd hai bīnā.ī ke liye
pal bhar mein kaise log badal jate hain yahan
dekho ki ye mufid hai binai ke liye
ain mumkin hai ki bīnā.ī mujhe dhoka de
ye jo shabnam hai sharāra bhī to ho saktā hai
ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de
ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai
dhuup chhāñv kā koī khel hai bīnā.ī bhī
aañkh ko DhūñD ke laayā huuñ to manzar gum hai
dhup chhanw ka koi khel hai binai bhi
aankh ko DhunD ke laya hun to manzar gum hai
zindagī kī zulmateñ apne lahū meñ rach ga.iiñ
tab kahīñ jā kar hameñ āñkhoñ kī bīnā.ī milī
zindagi ki zulmaten apne lahu mein rach gain
tab kahin ja kar hamein aankhon ki binai mili
apnī hī jalvagarī hai ye koī aur nahīñ
ġhaur se dekh agar aañkh meñ bīnā.ī hai
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin
ghaur se dekh agar aankh mein binai hai
aañkh bīnā.ī gañvā baiThī to
terī tasvīr se manzar niklā
aankh binai ganwa baiThi to
teri taswir se manzar nikla
maiñ jise hiir samajhtā thā vo rāñjhā niklā
baat niyyat kī nahīñ baat hai bīnā.ī kī
main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla
baat niyyat ki nahin baat hai binai ki
yuuñ to ham ahl-e-nazar haiñ magar anjām ye hai
DhūñDte DhūñDte kho dete haiñ bīnā.ī tak
yun to hum ahl-e-nazar hain magar anjam ye hai
DhunDte DhunDte kho dete hain binai tak