aisī duniyā meñ kab tak guzārā kareñ tum hī kah do ki kaise gavārā kareñ
raat mujh se mirī bebasī ne kahā bebasī ke liye ek taaza ġhazal
aisi duniya mein kab tak guzara karen tum hi kah do ki kaise gawara karen
raat mujh se meri bebasi ne kaha bebasi ke liye ek taza ghazal
bebasī se najāt mil jaa.e
phir savāl-o-javāb kar lenā
bebasi se najat mil jae
phir sawal-o-jawab kar lena
kyā shakl hai vasl meñ kisī kī
tasvīr haiñ apnī bebasī kī
kya shakl hai wasl mein kisi ki
taswir hain apni bebasi ki
hadīs-e-dil ba-zabān-e-nazar bhī kah na sakā
huzūr-e-husn baḌhī aur bebasī merī
hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka
huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri