Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muhammad Ayyub Zauqi's Photo'

Muhammad Ayyub Zauqi

Tanda, India

Muhammad Ayyub Zauqi

Ghazal 9

Sher-o-Shayari 11

rakhte haiñ jo allāh qudarat pe bharosa

duniyā meñ kisī vo ḳhushāmad nahīñ karte

rakhte hain jo allah ki qudarat pe bharosa

duniya mein kisi ki wo KHushamad nahin karte

  • Share this

rāste meñ mil ga.e to pūchh lete haiñ mizāj

is se baḌh kar aur kyā un ināyat chāhiye

raste mein mil gae to puchh lete hain mizaj

is se baDh kar aur kya un ki inayat chahiye

  • Share this

hadīs-e-dil ba-zabān-e-nazar bhī kah na sakā

huzūr-e-husn baḌhī aur bebasī merī

hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka

huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri

ḳhudā jaane ye soz-e-zabt hai zaḳhm-e-nākāmī

kabhī hotī na thī siine meñ lekin ye jalan pahle

KHuda jaane ye soz-e-zabt hai ya zaKHm-e-nakaami

kabhi hoti na thi sine mein lekin ye jalan pahle

  • Share this

un nigāh-e-lutf tāsīr kyā kahūñ

zarre ko āftāb banā kar chale ga.e

un ki nigah-e-lutf ki tasir kya kahun

zarre ko aaftab bana kar chale gae

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Tanda"

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now