Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Basant

Spring is a season loved

by us all - for the beauty and aroma it spread all around. It is a face of nature that poets have drawn upon frequently not only to portray a season but also a state of our lives. It has also been used as a metaphor in love poetry. We have made a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.

aate nazar haiñ dasht-o-jabal zard har taraf

hai ab ke saal aisī hai ai dostāñ basant

aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf

hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant

Insha Allah Khan Insha

jab nabī-sāhib meñ koh-o-dasht se aa.ī basant

kar ke mujrā shāh-e-mardāñ taraf dhaa.ī basant

jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant

kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant

Mushafi Ghulam Hamdani

basant aa.ī hai mauj-e-rañg-e-gul hai josh-e-sahbā hai

ḳhudā ke fazl se aish-o-tarab ab kamī kyā hai

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

KHuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

Mah Laqa Chanda

saaqī kuchh aaj tujh ko ḳhabar hai basant

har bahār pesh-e-nazar hai basant

saqi kuchh aaj tujh ko KHabar hai basant ki

har su bahaar pesh-e-nazar hai basant ki

Ufuq Lakhnavi

bulbul huā hai dekh sadā rañg bahār

is saal 'ābrū' kuuñ ban aa.ī basant rut

bulbul hua hai dekh sada rang ki bahaar

is sal 'abru' kun ban aai basant rut

Abroo Shah Mubarak

aayā basant phuul bhī sho.aloñ meñ Dhal ga.e

maiñ chūmne lagā to mire hoñT jal ga.e

aaya basant phul bhi shoalon mein Dhal gae

main chumne laga to mere honT jal gae

Kumar Pashi

ġhunche niiñ is bahār meñ kaDvāyā apnā dil

bulbul chaman meñ phuul ke gaa.ī basant rut

ghunche nin is bahaar mein kaDwaya apna dil

bulbul chaman mein phul ke gai basant rut

Abroo Shah Mubarak

jām-e-aqīq zard hai nargis ke haath meñ

taqsīm kar rahā hai mai-e-arġhavāñ basant

jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein

taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant

Muneer Shikohabadi

yārab hazār saal salāmat raheñ huzūr

ho roz jashn-e-īd yahāñ jāvedāñ basant

yarab hazar sal salamat rahen huzur

ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant

Muneer Shikohabadi

tasvīr-e-rū-e-yār dikhānā basant

aTkheliyoñ se dil ko lubhānā basant

taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka

aTkheliyon se dil ko lubhana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

ham-rañg hai duun nikal ashrafī ke saath

paatā hai aa ke rañg-e-talā.ī yahāñ basant

ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath

pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant

Muneer Shikohabadi

gar shāḳh-e-za.afarāñ use kahiye to hai ravā

hai farah-baḳhsh vāqa.ī is had kohāñ basant

gar shaKH-e-zafaran use kahiye to hai rawa

hai farah-baKHsh waqai is had kohan basant

Insha Allah Khan Insha

qudrat barkateñ haiñ ḳhazāna basant

kyā ḳhuub kyā ajiib zamāna basant

qudrat ki barkaten hain KHazana basant ka

kya KHub kya ajib zamana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

'inshā' se shaiḳh pūchhtā hai kyā salāh hai

tarġhīb-e-bāda hai mujhe ai javāñ basant

'insha' se shaiKH puchhta hai kya salah hai

targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant

Insha Allah Khan Insha

har samt sabza-zār bichhānā basant

phūloñ meñ rañg-o-bū ko luTānā basant

har samt sabza-zar bichhana basant ka

phulon mein rang-o-bu ko luTana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

koyal niiñ aa ke kuuk sunā.ī basant rut

baurā.e ḳhās-o-ām ki aa.ī basant rut

koyal nin aa ke kuk sunai basant rut

baurae KHas-o-am ki aai basant rut

Abroo Shah Mubarak

patte nahīñ chaman meñ khaḌakte tire baġhair

kartī hai is libās meñ har-dam fuġhāñ basant

patte nahin chaman mein khaDakte tere baghair

karti hai is libas mein har-dam fughan basant

Insha Allah Khan Insha

paiġhām-e-lutf-e-ḳhās sunānā basant

dariyā-e-faiz-e-ām bahānā basant

paigham-e-lutf-e-KHas sunana basant ka

dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Tesū ke phuul dashnā-e-ḳhūnī hue use

birhan ke kuuñ hai ye kasā.ī basant rut

Tesu ke phul dashna-e-KHuni hue use

birhan ke ji kun hai ye kasai basant rut

Abroo Shah Mubarak

kartā hai bāġh-e-dahr meñ nairañgiyāñ basant

aayā hai laakh rañg se ai bāġhbāñ basant

karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant

aaya hai lakh rang se ai baghban basant

Muneer Shikohabadi

har shāḳh zard o surḳh o siyah hijr-e-yār meñ

Daste haiñ dil ko aan ke juuñ naag ai basant

har shaKH zard o surKH o siyah hijr-e-yar mein

Daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant

Insha Allah Khan Insha

joban par in dinoñ hai bahār-e-nashāt-e-bāġh

letā hai phuul bhar ke yahāñ jholiyāñ basant

joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh

leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant

Muneer Shikohabadi

rashk-e-jināñ chaman ko banānā basant

har har kalī meñ rañg dikhānā basant

rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka

har har kali mein rang dikhana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

dil ko bahut aziiz hai aanā basant

'rahbar' zindagī meñ samānā basant

dil ko bahut aziz hai aana basant ka

'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

ab ke basant aa.ī to āñkheñ ujaḌ ga.iiñ

sarsoñ ke khet meñ koī patta harā na thā

ab ke basant aai to aankhen ujaD gain

sarson ke khet mein koi patta hara na tha

Bimal Krishn Ashk

ne lagā.ī ab ye kyā aag ai basant

jis se ki dil aag uThe jaag ai basant

tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant

jis se ki dil ki aag uThe jag ai basant

Insha Allah Khan Insha

'mus.hafī' ab ik ġhazal likh ġhazal tarah se

kare aalam tārāj-e-shakebā.ī basant

'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se

ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant

Mushafi Ghulam Hamdani

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now