tujh se barham huuñ kabhī ḳhud se ḳhafā
kuchh ajab raftār hai tere baġhair
tujh se barham hun kabhi KHud se KHafa
kuchh ajab raftar hai tere baghair
-
Tag : Khafa
zindagī se zindagī rūThī rahī
aadmī se aadmī barham rahā
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham raha
-
Tags : Aadmiand 1 more
idhar aa ham dikhāte haiñ ġhazal kā aa.ina tujh ko
ye kis ne kah diyā gesū tire barham nahīñ pyāre
idhar aa hum dikhate hain ghazal ka aaina tujh ko
ye kis ne kah diya gesu tere barham nahin pyare
gila mujh se thā yā merī vafā se
mirī mahfil se kyuuñ barham ga.e vo
gila mujh se tha ya meri wafa se
meri mahfil se kyun barham gae wo
kuchh to hassās ham ziyāda haiñ
kuchh vo barham ziyāda hotā hai
kuchh to hassas hum ziyaada hain
kuchh wo barham ziyaada hota hai
hamārī zindagī kahne kī had tak zindagī hai bas
ye shīrāza bhī dekhā jaa.e to barham hai barsoñ se
hamari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas
ye shiraaza bhi dekha jae to barham hai barson se
-
Tag : Zindagi
barham haiñ mujh pe is liye donoñ taraf ke log
dīvār uTh ga.ī thī to dar kyuuñ banāyā hai
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
diwar uTh gai thi to dar kyun banaya hai
isī pe shahr kī saarī havā.eñ barham thiiñ
ki ik diyā mire ghar kī muñDer par bhī thā
isi pe shahr ki sari hawaen barham thin
ki ek diya mere ghar ki munDer par bhi tha
ham-nashīñ dekhī nahūsat dāstān-e-hijr kī
sohbateñ jamne na paa.ī thiiñ ki barham ho ga.iiñ
ham-nashin dekhi nahusat dastan-e-hijr ki
sohbaten jamne na pai thin ki barham ho gain