bam phaTe log mare ḳhuun bahā shahr luTe
aur kyā likkhā hai aḳhbār meñ aage paḌhiye
bam phaTe log mare KHun baha shahr luTe
aur kya likkha hai aKHbar mein aage paDhiye
raat ke lamhāt ḳhūnī dāstāñ likhte rahe
sub.h ke aḳhbār meñ hālāt behtar ho ga.e
raat ke lamhat KHuni dastan likhte rahe
subh ke aKHbar mein haalat behtar ho gae
das baje raat ko so jaate haiñ ḳhabreñ sun kar
aañkh khultī hai to aḳhbār talab karte haiñ
das baje raat ko so jate hain KHabren sun kar
aankh khulti hai to aKHbar talab karte hain
vo ḳhush-nasīb the jinheñ apnī ḳhabar na thī
yaañ jab bhī aañkh kholiye aḳhbār dekhiye
wo KHush-nasib the jinhen apni KHabar na thi
yan jab bhi aankh kholiye aKHbar dekhiye
jo dil ko hai ḳhabar kahīñ miltī nahīñ ḳhabar
har sub.h ik azaab hai aḳhbār dekhnā
jo dil ko hai KHabar kahin milti nahin KHabar
har subh ek azab hai aKHbar dekhna
-
Tag : Fasad
mujh ko aḳhbār sī lagtī haiñ tumhārī bāteñ
har na.e roz nayā fitna bayāñ kartī haiñ
mujh ko aKHbar si lagti hain tumhaari baaten
har nae roz naya fitna bayan karti hain
aise mar jaa.eñ koī naqsh na chhoḌeñ apnā
yaad dil meñ na ho aḳhbār meñ tasvīr na ho
aise mar jaen koi naqsh na chhoDen apna
yaad dil mein na ho aKHbar mein taswir na ho
gumnām ek laash kafan ko taras ga.ī
kāġhaz tamām shahr ke aḳhbār ban ga.e
gumnam ek lash kafan ko taras gai
kaghaz tamam shahr ke aKHbar ban gae
surḳhiyāñ ḳhuun meñ Duubī haiñ sab aḳhbāroñ kī
aaj ke din koī aḳhbār na dekhā jaa.e
surKHiyan KHun mein Dubi hain sab aKHbaron ki
aaj ke din koi aKHbar na dekha jae
surḳhiyāñ aḳhbār kī galiyoñ meñ ġhul kartī rahīñ
log apne band kamroñ meñ paḌe sote rahe
surKHiyan aKHbar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein paDe sote rahe
kaun paḌhtā hai yahāñ khol ke ab dil kī kitāb
ab to chehre ko hī aḳhbār kiyā jaanā hai
kaun paDhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab
ab to chehre ko hi aKHbar kiya jaana hai
khīñcho na kamānoñ ko na talvār nikālo
jab top muqābil ho to aḳhbār nikālo
neither bow and arrow nor a sword do you require
pubish a newspaper when faced with cannon fire
khincho na kamanon ko na talwar nikalo
jab top muqabil ho to aKHbar nikalo
neither bow and arrow nor a sword do you require
pubish a newspaper when faced with cannon fire
-
Tag : Mashwara
is vaqt vahāñ kaun dhuāñ dekhne jaa.e
aḳhbār meñ paḌh leñge kahāñ aag lagī thī
is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae
aKHbar mein paDh lenge kahan aag lagi thi
koī nahīñ jo patā de diloñ kī hālat kā
ki saare shahr ke aḳhbār haiñ ḳhabar ke baġhair
koi nahin jo pata de dilon ki haalat ka
ki sare shahr ke aKHbar hain KHabar ke baghair
koī column nahīñ hai hādsoñ par
bachā kar aaj kā aḳhbār rakhnā
koi column nahin hai hadson par
bacha kar aaj ka aKHbar rakhna
hamāre shahr ke logoñ kā ab ahvāl itnā hai
kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā
hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
-
Tag : ahvaal
zarā sī chaa.e girī aur daaġh daaġh varaq
ye zindagī hai ki aḳhbār kā tarāshā hai
zara si chae giri aur dagh dagh waraq
ye zindagi hai ki aKHbar ka tarasha hai