aam terī ye ḳhush-nasībī hai
varna langḌoñ pe kaun martā hai
aam teri ye KHush-nasibi hai
warna langDon pe kaun marta hai
asar ye tere anfās-e-masīhā.ī kā hai 'akbar'
allahabad se lañgDā chalā lahore tak pahuñchā
asar ye tere anfas-e-masihai ka hai 'akbar'
allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha
mausam tumhāre saath kā jaane kidhar gayā
tum aa.e aur baur na aayā daraḳht par
mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya
tum aae aur baur na aaya daraKHt par
nāyāb aam lutf hue rang rang ke
koī hai zard koī harā kuchh haiñ laal laal
nayab aam lutf hue rang rang ke
koi hai zard koi hara kuchh hain lal lal