ye hai majlis-e-shah-e-ashiqan koi nazr-e-jaan ho to le ke aa
ye hai majlis-e-shah-e-ashiqan koi nazr-e-jaan ho to le ke aa
Naseer Turabi
MORE BYNaseer Turabi
ye hai majlis-e-shah-e-āshiqāñ koī nazr-e-jāñ ho to le ke aa
yahāñ chashm-e-tar kā rivāj hai dil-e-ḳhūñ-chakāñ ho to le ke aa
ye fazā hai 'ambar-o-'ūd kī ye mahal hai vird-e-darūd kā
ye namāz-e-'ishq kā vaqt hai koī ḳhush-azāñ ho to le ke aa
ye jo ik 'azā kā shi'ār hai ye 'ajab du'ā kā hisār hai
kisī nā-rasā ko talāsh kar koī be-amāñ ho to le ke aa
ye 'alam hai haq kī sabīl kā ye 'alam hai ahl-e-dalīl kā
kahīñ aur aise qabīl kā koī sā.ebāñ ho to le ke aa
ye huzūr-o-ġhaib ke silsile ye matā-e-fikr ke marhale
ġham-e-rā.egāñ kī bisāt kyā ġham-e-jāvedāñ ho to le ke aa
sar-e-lauh-e-āb likhā huā kisī tishna-mashk kā mājrā
sar-e-fard-e-reg likhī huī koī dāstāñ ho to le ke aa
tire naqsha-hā-e-ḳhayāl meñ had-e-nainvā kī nazīr kā
koī aur ḳhitta-e-āb-o-gil tah-e-āsmāñ ho to le ke aa
kabhī kunj-e-hur ke qarīb jā kabhī tā-ba-sahn-e-habīb jā
kabhī sū-e-bait-e-shabīb jā koī armuġhāñ ho to le ke aa
mire madd-o-jazr kī ḳhair ho ki safar hai dajla-e-dahr kā
kahīñ misl-e-nām-e-husain bhī koī bādbāñ ho to le ke aa
na 'anīs' huuñ na 'dabīr' huuñ maiñ 'nasīr' sirf 'nasīr' huuñ
mire zarf-e-harf ko jāñchne koī nukta-dāñ ho to le ke aa
ye hai majlis-e-shah-e-ashiqan koi nazr-e-jaan ho to le ke aa
yahan chashm-e-tar ka riwaj hai dil-e-KHun-chakan ho to le ke aa
ye faza hai 'ambar-o-'ud ki ye mahal hai wird-e-darud ka
ye namaz-e-'ishq ka waqt hai koi KHush-azan ho to le ke aa
ye jo ek 'aza ka shi'ar hai ye 'ajab du'a ka hisar hai
kisi na-rasa ko talash kar koi be-aman ho to le ke aa
ye 'alam hai haq ki sabil ka ye 'alam hai ahl-e-dalil ka
kahin aur aise qabil ka koi saeban ho to le ke aa
ye huzur-o-ghaib ke silsile ye mata-e-fikr ke marhale
gham-e-raegan ki bisat kya gham-e-jawedan ho to le ke aa
sar-e-lauh-e-ab likha hua kisi tishna-mashk ka majra
sar-e-fard-e-reg likhi hui koi dastan ho to le ke aa
tere naqsha-ha-e-KHayal mein had-e-nainwa ki nazir ka
koi aur KHitta-e-ab-o-gil tah-e-asman ho to le ke aa
kabhi kunj-e-hur ke qarib ja kabhi ta-ba-sahn-e-habib ja
kabhi su-e-bait-e-shabib ja koi armughan ho to le ke aa
mere madd-o-jazr ki KHair ho ki safar hai dajla-e-dahr ka
kahin misl-e-nam-e-husain bhi koi baadban ho to le ke aa
na 'anis' hun na 'dabir' hun main 'nasir' sirf 'nasir' hun
mere zarf-e-harf ko jaanchne koi nukta-dan ho to le ke aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.