Zia Jalandhari
Ghazal 39
Nazm 28
Sher-o-Shayari 25
burā na maan 'ziyā' us kī sāf-goī kā
jo dard-mand bhī hai aur be-adab bhī nahīñ
bura na man 'ziya' us ki saf-goi ka
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
rañg bāteñ kareñ aur bātoñ se ḳhushbū aa.e
dard phūloñ kī tarah mahke agar tū aa.e
TRANSLATION
Colours start talking, and the talks smell of fragrance,
Pain has aroma of flowers, but only for your presence
Sagar Akbarabadi
rang baaten karen aur baaton se KHushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
TRANSLATION
Colours start talking, and the talks smell of fragrance,
Pain has aroma of flowers, but only for your presence
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
himmat hai to buland kar āvāz kā alam
chup baiThne se hal nahīñ hone kā mas.ala
himmat hai to buland kar aawaz ka alam
chup baiThne se hal nahin hone ka masala
-
Share this
- See Ghazal
ishq meñ bhī koī anjām huā kartā hai
ishq meñ yaad hai āġhāz hī āġhāz mujhe
in love's journey do you think you'll ever reach your goal?
ishq mein bhi koi anjam hua karta hai
ishq mein yaad hai aaghaz hi aaghaz mujhe
in love's journey do you think you'll ever reach your goal?
-
Share this
- Translation
ye aañsū ye pashemānī kā iz.hār
mujhe ik baar phir bahkā ga.ī ho
ye aansu ye pashemani ka izhaar
mujhe ek bar phir bahka gai ho
-
Share this
- See Ghazal