jaane kis ki thi KHata yaad nahin
jaane kis ki thi KHata yaad nahin
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
jaane kis kī thī ḳhatā yaad nahīñ
ham hue kaise judā yaad nahīñ
ek sho.ala sā uThā thā dil meñ
jaane kis kī thī sadā yaad nahīñ
ek naġhma sā sunā thā maiñ ne
kaun thā sho.ala-navā yaad nahīñ
roz dohrāte the afsāna-e-dil
kis tarah bhuul gayā yaad nahīñ
ik faqat yaad hai jaanā un kā
aur kuchh is ke sivā yaad nahīñ
tū mirī jān-e-tamannā thī kabhī
ai mirī jān-e-vafā yaad nahīñ
ham bhī the terī tarah āvāra
kyā tujhe bād-e-sabā yaad nahīñ
ham bhī the terī navāoñ meñ sharīk
tā.ir-e-naġhma-sarā yaad nahīñ
hāl-e-dil kaise 'tabassum' ho bayāñ
jaane kyā yaad hai kyā yaad nahīñ
jaane kis ki thi KHata yaad nahin
hum hue kaise juda yaad nahin
ek shoala sa uTha tha dil mein
jaane kis ki thi sada yaad nahin
ek naghma sa suna tha main ne
kaun tha shoala-nawa yaad nahin
roz dohraate the afsana-e-dil
kis tarah bhul gaya yaad nahin
ek faqat yaad hai jaana un ka
aur kuchh is ke siwa yaad nahin
tu meri jaan-e-tamanna thi kabhi
ai meri jaan-e-wafa yaad nahin
hum bhi the teri tarah aawara
kya tujhe baad-e-saba yaad nahin
hum bhi the teri nawaon mein sharik
tair-e-naghma-sara yaad nahin
haal-e-dil kaise 'tabassum' ho bayan
jaane kya yaad hai kya yaad nahin
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.