honTon pe sahilon ki tarah tishnagi rahi
hoñToñ pe sāhiloñ kī tarah tishnagī rahī
maiñ chup huā to merī anā chīḳhtī rahī
ik naam kyā likhā tirā sāhil kī ret par
phir 'umr bhar havā se mirī dushmanī rahī
saḌkoñ pe sard raat rahī merī ham-safar
āñkhoñ meñ mere saath thakan jāgtī rahī
yādoñ se kheltī rahī tanhā.ī raat bhar
ḳhushbū ke intizār meñ shab bhīgtī rahī
vo lafz lafz mujh pe utartā rahā 'shakīl'
sochoñ pe us ke naam kī taḳhtī lagī rahī
honTon pe sahilon ki tarah tishnagi rahi
main chup hua to meri ana chiKHti rahi
ek nam kya likha tera sahil ki ret par
phir 'umr bhar hawa se meri dushmani rahi
saDkon pe sard raat rahi meri ham-safar
aankhon mein mere sath thakan jagti rahi
yaadon se khelti rahi tanhai raat bhar
KHushbu ke intizar mein shab bhigti rahi
wo lafz lafz mujh pe utarta raha 'shakil'
sochon pe us ke nam ki taKHti lagi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.