Sher of Nusrat Gwaliari
bhuul jaane kā mujhe mashvara dene vaale
yaad ḳhud ko bhī na maiñ aa.uuñ kuchh aisā kar de
bhul jaane ka mujhe mashwara dene wale
yaad KHud ko bhi na main aaun kuchh aisa kar de
raat ke lamhāt ḳhūnī dāstāñ likhte rahe
sub.h ke aḳhbār meñ hālāt behtar ho ga.e
raat ke lamhat KHuni dastan likhte rahe
subh ke aKHbar mein haalat behtar ho gae
kuchh ehtiyāt parinde bhī rakhnā bhuul ga.e
kuchh intiqām bhī āñdhī ne badtarīn liye
kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhul gae
kuchh intiqam bhi aandhi ne badtarin liye
maiñ ajnabī huuñ magar tum kabhī jo sochoge
koī qarīb kā rishta zarūr niklegā
main ajnabi hun magar tum kabhi jo sochoge
koi qarib ka rishta zarur niklega
kuchh nau-javān shahr se aa.e haiñ lauT kar
ab daav par lagī huī izzat hai gaañv kī
kuchh nau-jawan shahr se aae hain lauT kar
ab daw par lagi hui izzat hai ganw ki
ham tirī talḳh guftugū sun kar
chup haiñ lekin sabab samajhte haiñ
hum teri talKH guftugu sun kar
chup hain lekin sabab samajhte hain
DhūñDne vaale ġhalat-fahmī maiñ the
vo anā ke saath apne sur meñ thā
DhunDne wale ghalat-fahmi main the
wo ana ke sath apne sur mein tha
milnā paḌtā hai hameñ ḳhud se bhī ġhairoñ kī tarah
us ne māhaul hī kuchh aisā banā rakkhā hai
milna paDta hai hamein KHud se bhi ghairon ki tarah
us ne mahaul hi kuchh aisa bana rakkha hai
vo gulābī bādaloñ meñ ek niilī jhiil sī
hosh qaa.em kaise rahte thā hī kuchh aisā libās
wo gulabi baadalon mein ek nili jhil si
hosh qaem kaise rahte tha hi kuchh aisa libas
kitne zehnoñ ko kar gayā gumrāh
ik baḌe aadmī kā chhoTā-pan
kitne zehnon ko kar gaya gumrah
ek baDe aadmi ka chhoTa-pan
bachcha majbūriyoñ ko kyā jaane
ik khilaunā ḳharīdnā thā mujhe
bachcha majburiyon ko kya jaane
ek khilauna KHaridna tha mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har shaḳhs apnī apnī jagah yuuñ hai mutma.in
jaise ki jāntā ho qazā kā hai ruḳh kidhar
har shaKHs apni apni jagah yun hai mutmain
jaise ki jaanta ho qaza ka hai ruKH kidhar
husn utnā ek paikar maiñ simaT saktā nahīñ
tū bhī mere hī kisī ehsās kī tasvīr hai
husn utna ek paikar main simaT sakta nahin
tu bhi mere hi kisi ehsas ki taswir hai
diloñ ke biich kī dīvār gir bhī saktī thī
kisī ne kaam liyā hī nahīñ tadabbur se
dilon ke bich ki diwar gir bhi sakti thi
kisi ne kaam liya hi nahin tadabbur se
qānūn jaise kho chukā sadiyoñ kā e'timād
ab kaun dekhtā hai ḳhatā kā hai ruḳh kidhar
qanun jaise kho chuka sadiyon ka e'timad
ab kaun dekhta hai KHata ka hai ruKH kidhar
ujaaḌ taptī huī raah meñ bhaTakne lagī
na jaane phuul ne kyā kah diyā thā titlī se
ujaD tapti hui rah mein bhaTakne lagi
na jaane phul ne kya kah diya tha titli se
vo patā apnī shāḳh se zarā judā huā hī thā
na jaane phir kahāñ kahāñ havā uḌā ke le ga.ī
wo pata apni shaKH se zara juda hua hi tha
na jaane phir kahan kahan hawa uDa ke le gai
mire charāġh kī nannhī sī lau se ḳhā.if hai
ajiib vaqt paḌā hai siyāh āñdhī par
mere charagh ki nannhi si lau se KHaif hai
ajib waqt paDa hai siyah aandhi par
bolte rahte haiñ nuqūsh us ke
phir bhī vo shaḳhs kam-suḳhan hai bahut
bolte rahte hain nuqush us ke
phir bhi wo shaKHs kam-suKHan hai bahut
ik qism aur zinda rahne kī
vaar tīkhā sahī muqaddar kā
ek qism aur zinda rahne ki
war tikha sahi muqaddar ka
vo andhī raah meñ bīnā.iyāñ bichhātā rahā
badan pe zaḳhm liye aur laboñ pe diin liye
wo andhi rah mein binaiyan bichhata raha
badan pe zaKHm liye aur labon pe din liye
shafaq sī phir koī utrī hai mujh meñ
ye kaisī raushnī phailī hai mujh meñ
shafaq si phir koi utri hai mujh mein
ye kaisi raushni phaili hai mujh mein