Sher of Mirza Shauq Lakhnavi
maut se kis ko rustagārī hai
aaj vo kal hamārī baarī hai
maut se kis ko rustagari hai
aaj wo kal hamari bari hai
gesū ruḳh par havā se hilte haiñ
chaliye ab donoñ vaqt milte haiñ
gesu ruKH par hawa se hilte hain
chaliye ab donon waqt milte hain
dekh lo ham ko aaj jī bhar ke
koī aatā nahīñ hai phir mar ke
dekh lo hum ko aaj ji bhar ke
koi aata nahin hai phir mar ke
chaman meñ shab ko ghirā abr-e-nau-bahār rahā
huzūr aap kā kyā kyā na intizār rahā
chaman mein shab ko ghira abr-e-nau-bahaar raha
huzur aap ka kya kya na intizar raha
sābit ye kar rahā huuñ ki rahmat-shanās huuñ
har qism kā gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
sabit ye kar raha hun ki rahmat-shanas hun
har qism ka gunah kiye ja raha hun main
ga.e jo aish ke din maiñ shabāb kyā kartā
lagā ke jaan ko apnī azaab kyā kartā
gae jo aish ke din main shabab kya karta
laga ke jaan ko apni azab kya karta