Mahshar Inayati
Ghazal 21
Sher-o-Shayari 14
chale bhī aao mire jīte-jī ab itnā bhī
na intizār baḌhāo ki niiñd aa jaa.e
chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi
na intizar baDhao ki nind aa jae
-
Share this
- See Ghazal
kisī kī bazm ke hālāt ne samjhā diyā mujh ko
ki jab saaqī nahīñ apnā to mai apnī na jaam apnā
kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko
ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna
-
Share this
- See Ghazal
har ek baat zabāñ se kahī nahīñ jaatī
jo chupke baiThe haiñ kuchh un kī baat bhī samjho
har ek baat zaban se kahi nahin jati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho
-
Share this
- See Ghazal
baḌī tavīl hai 'mahshar' kisī ke hijr kī baat
koī ġhazal hī sunāo ki niiñd aa jaa.e
baDi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunao ki nind aa jae
-
Share this
- See Ghazal