mughanniyon ko bulao ki nind aa jae
muġhanniyoñ ko bulāo ki niiñd aa jaa.e
kaho vo giit sunāo ki niiñd aa jaa.e
chale bhī aao mire jīte-jī ab itnā bhī
na intizār baḌhāo ki niiñd aa jaa.e
charāġh-e-umr-e-guzashta bujhā diyā kis ne
vahī charāġh jalāo ki niiñd aa jaa.e
haqīqatoñ ne to khul khul ke niiñd uḌā dī hai
na.e tilism banāo ki niiñd aa jaa.e
sukūñ-nasībo idhar aao aur koī tadbīr
zarā hameñ bhī batāo ki niiñd aa jaa.e
baḌī tavīl hai 'mahshar' kisī ke hijr kī baat
koī ġhazal hī sunāo ki niiñd aa jaa.e
mughanniyon ko bulao ki nind aa jae
kaho wo git sunao ki nind aa jae
chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi
na intizar baDhao ki nind aa jae
charagh-e-umr-e-guzashta bujha diya kis ne
wahi charagh jalao ki nind aa jae
haqiqaton ne to khul khul ke nind uDa di hai
nae tilism banao ki nind aa jae
sukun-nasibo idhar aao aur koi tadbir
zara hamein bhi batao ki nind aa jae
baDi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunao ki nind aa jae
- Book : Sahbaa-o-Saman (Pg. 60)
- Edition : 1st 1979 IInd 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.