is shahr-e-tilismat ka dastur ajab hai
is shahr-e-tilismāt kā dastūr ajab hai
har shaḳhs fasurda hai magar ḳhanda-ba-lab hai
jaise ghane jangal meñ koī aag lagā de
is shahr meñ sūraj kā nikalnā bhī ġhazab hai
be-kār hai be-ma.anī hai aḳhbār kī surḳhī
likkhā hai jo dīvār pe vo ġhaur-talab hai
kyā mujh ko uThā.egā koī merī jagah se
patthar huuñ jo ta.amīr kī buniyād kā rab hai
jo aañkh kī putlī meñ rahā nuur kī sūrat
vo shaḳhs mire ghar ke añdhere kā sabab hai
is shahr-e-tilismat ka dastur ajab hai
har shaKHs fasurda hai magar KHanda-ba-lab hai
jaise ghane jangal mein koi aag laga de
is shahr mein suraj ka nikalna bhi ghazab hai
be-kar hai be-mani hai aKHbar ki surKHi
likkha hai jo diwar pe wo ghaur-talab hai
kya mujh ko uThaega koi meri jagah se
patthar hun jo tamir ki buniyaad ka rab hai
jo aankh ki putli mein raha nur ki surat
wo shaKHs mere ghar ke andhere ka sabab hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 555)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.