tera chehra kitna suhana lagta hai
terā chehra kitnā suhānā lagtā hai
tere aage chāñd purānā lagtā hai
tirchhe tirchhe tiir nazar ke lagte haiñ
sīdhā sīdhā dil pe nishānā lagtā hai
aag kā kyā hai pal do pal meñ lagtī hai
bujhte bujhte ek zamānā lagtā hai
paañv nā bāñdhā panchhī kā par bāñdhā
aaj kā bachcha kitnā siyānā lagtā hai
sach to ye hai phuul kā dil bhī chhalnī hai
hañstā chehra ek bahānā lagtā hai
sunñe vaale ghanToñ sunte rahte haiñ
merā fasāna sab kā fasānā lagtā hai
'kaif' batā kyā terī ġhazal meñ jaadū hai
bachcha bachcha terā divānā lagtā hai
tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chand purana lagta hai
tirchhe tirchhe tir nazar ke lagte hain
sidha sidha dil pe nishana lagta hai
aag ka kya hai pal do pal mein lagti hai
bujhte bujhte ek zamana lagta hai
panw na bandha panchhi ka par bandha
aaj ka bachcha kitna siyana lagta hai
sach to ye hai phul ka dil bhi chhalni hai
hansta chehra ek bahana lagta hai
sunne wale ghanTon sunte rahte hain
mera fasana sab ka fasana lagta hai
'kaif' bata kya teri ghazal mein jadu hai
bachcha bachcha tera diwana lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.