Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Idris Babar's Photo'

Idris Babar

1973 | Pakistan

Prominent among new generation poets of Pakistan

Prominent among new generation poets of Pakistan

Sher of Idris Babar

7.8K
Favorite

SORT BY

haath duniyā bhī hai dil ḳharābī meñ bahut

phir bhī ai dost tirī ek nazar se kam hai

hath duniya ka bhi hai dil ki KHarabi mein bahut

phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai

aaj to jaise din ke saath dil bhī ġhurūb ho gayā

shaam chaa.e bhī ga.ī maut ke Dar ke saath saath

aaj to jaise din ke sath dil bhi ghurub ho gaya

sham ki chae bhi gai maut ke Dar ke sath sath

ab to mushkil hai kisī aur honā mire dost

mujhe aise huā jaise corona mire dost

ab to mushkil hai kisi aur ka hona mere dost

tu mujhe aise hua jaise corona mere dost

maut pahlī alāmat sāhib

yahī ehsās mar jaanā hai

maut ki pahli alamat sahib

yahi ehsas ka mar jaana hai

tenshan se maregā na corone se maregā

ik shaḳhs tire paas na hone se maregā

tenshan se marega na corone se marega

ek shaKHs tere pas na hone se marega

bhī ho maiñ bhī huuñ ik jagah pe aur vaqt bhī ho

itnī gunjā.isheñ rakhtī nahīñ duniyā mire dost!

tu bhi ho main bhi hun ek jagah pe aur waqt bhi ho

itni gunjaishen rakhti nahin duniya mere dost!

TuuT saktā hai chhalak saktā hai chhin saktā hai

itnā soche to koī jaam uchhāle kaise

TuT sakta hai chhalak sakta hai chhin sakta hai

itna soche to koi jam uchhaale kaise

is añdhere meñ jab koī bhī na thā

mujh se gum ho gayā ḳhudā mujh meñ

is andhere mein jab koi bhi na tha

mujh se gum ho gaya KHuda mujh mein

is qadar mat udaas ho jaise

ye mohabbat āḳhirī din hai

is qadar mat udas ho jaise

ye mohabbat ka aaKHiri din hai

maiñ jāntā huuñ ye mumkin nahīñ magar ai dost

maiñ chāhtā huuñ ki vo ḳhvāb phir baham kiye jaa.eñ

main jaanta hun ye mumkin nahin magar ai dost

main chahta hun ki wo KHwab phir baham kiye jaen

tamām dost alaav ke gird jam.a the aur

har ek apnī kahānī sunāne vaalā thā

tamam dost alaw ke gird jama the aur

har ek apni kahani sunane wala tha

vo mujhe dekh kar ḳhamosh rahā

aur ik shor mach gayā mujh meñ

wo mujhe dekh kar KHamosh raha

aur ek shor mach gaya mujh mein

ik ḳhauf-zada shaḳhs ghar tak

pahuñchā ka.ī rāstoñ meñ baT kar

ek KHauf-zada sa shaKHs ghar tak

pahuncha kai raston mein baT kar

zarā mil ke dikhāo ki aise milte haiñ

bahut patā hai tumheñ chhoḌ jaanā aatā hai

zara sa mil ke dikhao ki aise milte hain

bahut pata hai tumhein chhoD jaana aata hai

ḳhud-kushī bhī nahīñ mire bas meñ

log bas yūñhī mujh se Darte haiñ

KHud-kushi bhi nahin mere bas mein

log bas yunhi mujh se Darte hain

mar gayā ḳhaas taur par maiñ bhī

jis tarah aam log marte haiñ

mar gaya KHas taur par main bhi

jis tarah aam log marte hain

maiñ jinheñ yaad huuñ ab tak yahī kahte hoñge

shāhzāda kabhī nākām nahīñ aa saktā

main jinhen yaad hun ab tak yahi kahte honge

shahzada kabhi nakaam nahin aa sakta

maut uktā chukī rehearsal meñ

roz do chaar shaḳhs marte haiñ

maut ukta chuki rehearsal mein

roz do chaar shaKHs marte hain

vo bahut duur hai magar mire paas

ek samt karāyā hai

wo bahut dur hai magar mere pas

ek hi samt ka karaya hai

ik diyā dil raushnī safīr

ho mayassar to raat bhī din hai

ek diya dil ki raushni ka safir

ho mayassar to raat bhi din hai

yahāñ se chāroñ taraf rāste nikalte haiñ

Thahar Thahar ke ham is ḳhvāb se nikalte haiñ

yahan se chaaron taraf raste nikalte hain

Thahar Thahar ke hum is KHwab se nikalte hain

vahī ḳhvāb hai vahī baaġh hai vahī vaqt hai

magar is meñ us ke baġhair nahīñ lag rahā

wahi KHwab hai wahi bagh hai wahi waqt hai

magar is mein us ke baghair ji nahin lag raha

vo jin ko mayassar thī har ik chīz-e-digar bhī

mumkin hai suhūlat farāvānī se mar jaa.eñ

wo jin ko mayassar thi har ek chiz-e-digar bhi

mumkin hai suhulat ki farawani se mar jaen

pachās miil hai ḳhushkī se bahriya-town

bas ek ghanTe meñ achchhā zamāna aatā hai

pachas mil hai KHushki se bahriya-town

bas ek ghanTe mein achchha zamana aata hai

reg-e-dil meñ ka.ī nādīda parinde bhī haiñ dafn

sochte hoñge ki dariyā ziyārat kar jaa.eñ

reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn

sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen

dil ik ek ḳharābī sabab jānte haiñ

phir bhī mumkin hai ki ham tum se muravvat kar jaa.eñ

dil ki ek ek KHarabi ka sabab jaante hain

phir bhi mumkin hai ki hum tum se murawwat kar jaen

kahāniyoñ ne mirī ādateñ bigāḌī thiiñ

maiñ sirf sach ko zafar-yāb dekh saktā thā

kahaniyon ne meri aadaten bigaDi thin

main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha

break-dance sikhāyā hai naav ne dil ko

havā giit samundar ko gaanā aatā hai

break-dance sikhaya hai naw ne dil ko

hawa ka git samundar ko gana aata hai

āñkhoñ meñ utarte hue itrā.eñ sitāre

sūraj hoñ to jal kar tirī peshānī se mar jaa.eñ

aankhon mein utarte hue itraen sitare

suraj hon to jal kar teri peshani se mar jaen

mire savāl vahī TūT-phūT zad meñ

javāb un ke vahī haiñ bane-banā.e hue

mere sawal wahi TuT-phuT ki zad mein

jawab un ke wahi hain bane-banae hue

vahī na ho ki ye sab log saañs lene lageñ

amīr-e-shahr koī aur ḳhauf taarī kar

wahi na ho ki ye sab log sans lene lagen

amir-e-shahr koi aur KHauf tari kar

haañ ai ġhubār-e-āshnā maiñ bhī thā ham-safar tirā

ga.iiñ manzileñ tujhe khā ga.e rāste mujhe

han ai ghubar-e-ashna main bhi tha ham-safar tera

pi gain manzilen tujhe kha gae raste mujhe

dard dil shaam bazm mai jaam

rañg badal badal gayā ek nazar ke saath saath

dard ka dil ka sham ka bazm ka mai ka jam ka

rang badal badal gaya ek nazar ke sath sath

ye kiran kahīñ mire dil meñ aag lagā na de

ye muā.ina mujhe sarsarī nahīñ lag rahā

ye kiran kahin mere dil mein aag laga na de

ye muaina mujhe sarsari nahin lag raha

phuul hai jo kitāb meñ asl hai ki ḳhvāb hai

us ne is iztirāb meñ kuchh na paḌhā likhā to phir

phul hai jo kitab mein asl hai ki KHwab hai

us ne is iztirab mein kuchh na paDha likha to phir

dhuul uḌtī hai to yaad aatā hai kuchh

miltā-jultā thā libāda merā

dhul uDti hai to yaad aata hai kuchh

milta-julta tha libaada mera

kidhar gayā vo kūza-gar ḳhabar nahīñ

koī surāġh chaak se nahīñ milā

kidhar gaya wo kuza-gar KHabar nahin

koi suragh chaak se nahin mila

koī bhī dil meñ zarā jam ke ḳhaak uḌātā to

hazār gauhar-e-nāyāb dekh saktā thā

koi bhi dil mein zara jam ke KHak uData to

hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha

par nahīñ hote ḳhayāloñ ke to phir

kaise uḌte haiñ ġhubārā samjho

par nahin hote KHayalon ke to phir

kaise uDte hain ghubara samjho

kaam baat pūchhte kyā ho

kuchh huā kuchh nahīñ huā ya.anī

kaam ki baat puchhte kya ho

kuchh hua kuchh nahin hua yani

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now