Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Balwan Singh Azar's Photo'

Balwan Singh Azar

1986 | Delhi, India

Balwan Singh Azar

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 11

pūchhnā chāñd patā 'āzar'

jab akele meñ raat mil jaa.e

puchhna chand ka pata 'azar'

jab akele mein raat mil jae

haar jā.egī yaqīnan tīrgī

gar musalsal raushnī zinda rahī

haar jaegi yaqinan tirgi

gar musalsal raushni zinda rahi

havā ke dosh par lagtā hai uḌne

jo patta TuuT jaatā hai shajar se

hawa ke dosh par lagta hai uDne

jo patta TuT jata hai shajar se

  • Share this

ḳhatm hotā nahīñ merā safar

koī thak-hār gayā hai mujh meñ

KHatm hota hi nahin mera safar

koi thak-haar gaya hai mujh mein

koī manzil kabhī nahīñ aa.ī

rāste meñ thā rāste meñ huuñ

koi manzil kabhi nahin aai

raste mein tha raste mein hun

More Poets From "Delhi"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now