raat din ek bebasi zinda rahi
raat din ik bebasī zinda rahī
merī āñkhoñ meñ namī zinda rahī
haar jā.egī yaqīnan tīrgī
gar musalsal raushnī zinda rahī
pahle sannāToñ meñ vo maujūd thī
shor meñ bhī ḳhāmushī zinda rahī
zikr hogā is kā bhī sadiyoñ talak
kaise kaise ye sadī zinda rahī
dard ko 'āzar' duā maiñ kyuuñ na duuñ
dard hī se shā.erī zinda rahī
raat din ek bebasi zinda rahi
meri aankhon mein nami zinda rahi
haar jaegi yaqinan tirgi
gar musalsal raushni zinda rahi
pahle sannaTon mein wo maujud thi
shor mein bhi KHamushi zinda rahi
zikr hoga is ka bhi sadiyon talak
kaise kaise ye sadi zinda rahi
dard ko 'azar' dua main kyun na dun
dard hi se shaeri zinda rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.